Ghazi ki shahaadat se, saadaat pe kya guzri

(Maula ki qamar tuti, zainab ki rida utri) x2

(Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x3 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo

    (Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai, (Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai) x2, (mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are Sajjad pe zaalim ke tamaachon ki woh baarish, (maasum sakina pe tamachon ki woh baarish) x2 (haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are Rone pe koi zulm tarapne pe koi bain, (haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar) x2 (ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana (har shehr ke har mor pe hi eid manaana) x2 (ujre huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are karne pare bimaar ko taamil hazaaron, (be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron) x2 (ab tak hi yatimon ka koi zakhm na bharna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen, (roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen) x2 (sajjad ka har roz mei so baar ka marna) x2

    Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
    Are maaruf kabhi shoukato farhaan na hote, (lafzon pe agar shaah meherbaan na hote) x2 (alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa) x2