Ashoor ki shab
Ashoor ki shab beti sy, kehty thy ye sarwar,
ab tera bichona khak hy sakina (A.S) 2
kal nahi mily ka baap ka ye sinna 2

Mene mana k garm reet pr na so sako gi,
Karwatein badal badal k raat bhar jago gi, 2
Yaad ae gy hum 2
Or kabhi madina
Ab tera bichona khak hy sakina (A.S),

Beshikasta ho k bhi guzarni hyn raatein,
Yaad ae gi humare baad sari baatein, 2
Yun tarap tarap k 2
Ab tujhy hai jeena
Zindagi guzarni hy ab yateem ho k,
Jesy hum jiye hyn apny baap maa ko kho k, 2
Mere baad jeena 2
Seekh lo Sakina (A.S)
Haan ye shab tu jaag k guzar lo gi magr kal
Nanhi nanhi ankheyn kal nend sy jo hongi bojhal, 2
Kia kro gi us dum 2
Soch lo haseena (A.S)
Kal ka din rolae ga tumhein bhi or humhein bhi
Waqt azmae ga tumhein bhi or humein bhi 2
Sabr ka ye daman 2
Chorna na kabhi na
Han ye shab wohi hy jis k wasty Khuda say,
Mein ny tum ko manga tha duaon k saharay 2
Ab ye imtehan hy 2
Mein kahun Sakina (A.S)
Jis ka raaj hai wafa ki sari kainat pr,
Paani k liye usay na bhejna furaat pr 2
Warna lout kr vo 2
Ae ga kabhi na
Khak hay naseeb tera khak perahan hai,
Ab teri rida bhi khak, khak hi kafan hai 2
Khak hi mein ho ga2
Ab ye nageena
Mazhar abidi vo kesi asar ki ghari thi
Baap ko sakina bekasi say dekhati thi 2
Shah keh ry thy 2
Alvida sakina