Haaye sakina, sakina..(2)
Ae baade sabaa jaake ye ammu ko batana,..(2)
pyaasi hai sakina

1. Is chhote se sinn me ye sitam maine uthaye
Allah kisi ko na yateem aisa banaye
khud apne lahu mein koi bachi na nahaye
mai tumko bulati rahi tum bhi to na aaye
mai ban gayi baad asr laeeno ka nishaana
pyaasi hai sakina

2. Paani ki talab mujhko khilati rahi thokar
kehta tha laee'n dunga mai faujo'n ko pilakar
jab shimr e laee'n kar chuka sairaab ye lashkar
dikhlake mujhe faik diya paani zamee'n par
tab samjhi mai kya hota hai ummeed dilana
pyaasi hai sakina

3. Ek jaam hua shaam e ghareeba mein mayassar
wo kooza mai rakh aayi thi asghar ki lahad par
tha mujhse bhi chhota mera bhaiyya mera dilbar
sharminda mai hojati chacha pyaas bujha kar
ab apne hi haatho'n se meri pyaas bujhana
pyaasi hai sakina

4. Ek rassi mein hum sabke gale baandh ke aada
karte hue tash'heer chale jaanibe koofa
aur uspe musibat ye thi qad chota tha mera
uth ti thi jo phuphiya'n to gala khichta tha mera
gardan ka mere zakhm chacha dekhne aana
pyaasi hai sakina

5. Jis roz se asghar ko mila baba ka seena
us roz se ammu nahi so paayi sakina
is haal mein jaungi mai kis tarha madina
aa jaye mujhe maut hai kis kaam ka jeena
jaagi hu bohot aake chacha mujhko sulana
pyaasi hai sakina

6. Ghar laut ke jaate hai har ek shaam parinde
qismat mein likhe hai meri zindaa'n ke andhere
kab tak mai jiyungi yuhi ashko'n ke sahare
lagta hai ke marjaungi ab door watan se
hoga na mayassar mujhe ghar laut ke jaana
pyaasi hai sakina

7. Anwar ye sadaa parchame abbas se aayi
mai bhool nahi sakta sakina meri bachhi
kaate gaye baazu mere majboor tha bibi
mashkeeza alam mein hai laga dekhle ab bhi
parcham ka mere kaam hai duniya ko batana
pyaasi hai sakina
Ae baade sabaa jaake ye ammu ko batana
Pyaasi hai sakina..(3)