Haye
Reh gayi dasht me tanha toh watan yaad aya
Pani paya toh har ek tishna dahan yaad aya
Leke har cheez Madine se chali thi Zainab
Bhai ki laash pe pohonchi toh kafan yaad aya
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain ....x4

Aayi thi Madine se lekar main apna bhara ghar bhai
Logon ne mera ghar lut liya bas paas rahi tanhayi
Yaha tishna lab
Yaha tishna lab tu hua bain, behen berida hain
Tu bekafa hain hussain, behen berida hain......x2

Pani se tujhe mehroom rakha aur mujhko tere matam se
Tukde hain kaleja Zainab ka aye bhai fakat is gam se
Sina par tera
Sina par tera sar rakha hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain.....x2

Tu mere liye faryad kare main tere liye aye bhai
Mazlum musaafir teri behen baagi ki behen kehlayi
Yeh gam sitam
Yeh gam sitam se bada hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain....x2

Lashe se tere aati hain sada sunti hain behen majaye
Aye kaash koi tadbeer bane aur Zainab Shaam na jaye
Aseer e rasan
Aseer e rasan kafla hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain

Main qaidi bani aur Shaam chali, mehmil na amaari ayi
Zainab ke liye hain sabse bada gam tujhse bichadna bhai
Tujhe yehi gam
Tujhe yehi gam kha gaya hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain .....x2

Amma ki sada yeh aati hain kyu lut liya pyaase ko
Sar tera badan se kaat liye aur pamaal kiya laashe ko
Qateel e jafa
Qateel e jafa tu hua hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain......x2

Hain kaan Sakina ke zakhmi, Abid ka mukaddar bedi
Naize pe shaheedon ke sar hain , sadat bane hain qaidi
Abhi Shaam ka
Abhi Shaam ka marhala hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain ....x2

Ghar tera qareeb e asr luta, main shaam e alam me luti
Khoon tera baha bejurm o khata, hamsheer is gam me ujdi
Tere khoon se
Tere khoon se yeh wafa hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, berida hain.....x2

Ta umr padhege yeh nauha Farhan aur Mazhar rokar
Zainab ke baradar ke markad par humne suna hain aksar
Shah e di ka yeh
Shah e di ka yeh marsiya hain, behen berida hain
Tu bekafan hain Hussain, behen berida hain ...x2
Behen berida hain....x3