Chand Moharram Ka Nazar Aagaya-
Chha Gaie Gham Ki Faza'a-
Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  4

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e- Aza'a....2
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay-
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)....
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....2

Zaib-e-tan Aihl-e-aza'a Nay Kar Liyay Kaalay Libas-
Haath Hain Seeno'n Pe, Aa'soo Aankh Mein, Chehray Udaas-
Hai Juloos-e-gham Kahi'n Par-(2)
Aur Kahi'n Majlis Bapa-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..

Nasb Karti Hain Azakhanay Kaneezaan-e-batool (s.a)-
Hath Mein Patka Alam Ka, Lab Pe Noha, Dil Malool-
Alqamah Aa'nkho'n Say Jaari-(2)
Lab Pe Haaey Karbala-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..

Daikh Kar Maah-e-aza'a Ko, Maa'n Nay Bachcho'n Say Kaha-
Aao Main Tum Ko Sikhaao'n Kia Hai Tehzeeb-e-aza'a-
Ba Wuzoo Hokar Hi Parhna-(2)
Soz, Noha, Marsiyah-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..

Yeh Azadari Chali Hai Syed-e-sajjad (a.s) Say-
Zakiri Ki Ibtida Hai Zainab-e-naashaad Say-
Perawi Sajjad (as) Ki Hai- (2)
Bediyan'n, Shaal-e-aza'a-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a..

Ban Kay Saqqa-e-sakina (s.a),tifl Aur Peer-o-jawaa'n-
Syedo'n Kay Ghar Pe Jaakay Pursa Daitay Hain Wahaa'n-
Yeh Wohi Din Hain Ke Jis Mein-(2)
Aap Ka Ghar Lut Gaya-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)....
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a.,..

Ta'aziyay, Jhoolay, Sabilai'n Nisbat-e-shabbir (a.s) Hai-
Yaad Mein Eik Bay Watan Kay Harqa-e-zanjeer Hai-
Apnay Hi Khoo'n Rneiri Nahaa Kay-(2)
Kehtay Hain Khooni Qaba-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)....
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....

Aaj Har Dil Mein Basa Hai Tera Hi Gham Ya Hussain (a.s)-
Ghair Muslim Bhi Manatay Hain Moharram Ya Hussain (a.s)-
Eik Teray Gham Nay Hi Mola-(2)
Sab Ko Yak Jaa Kardiya-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....
Arsh Say Aa'nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)....
Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza'a....

Chaar Soo "farhan"-o-"mazhar", Momino'n Ka Qatl-e- Aam-
Aik Pal Ko Rok Paaya Kiya Moharram Ka Nizaam-
Bhooi Jaatay Hain Yeh Keh Kar-(2)
Apnay Gham Aihl-e-aza'a-