Haey Baba Ujarh Gaiee Zainab (s.a)....2
Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka....
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba..,,
Mera Koi Nahi'n Raha Baba-

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka..
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba..
Mera Koi Nahi'n Raha Baba..

Karbala Mein Ghareeb Zainab (s.a) Par-(2)
Haaey Kaisa Sitam Huwa Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba..

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka..
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba..
Mera Koi Nahi'n Raha Baba..

Kal Madinay Say Aai Thi Zainab (s.a)-
Bhai Baton'n Kay Sath Karbal Mein-
Ro Rahi Hai Haya Ki Shahzadi-
Aaj Aihl-e-sitam Kay Narghay Mein-
Aur Labo'n Par Yehi Duhaai Hai-(2)
Haaey Ghar Lut Gaya Mera Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba..

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka..
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba..
Mera Koi Nahi'n Raha Baba..

Meray Abbas (a.s) Kay Katay Baazoo-
Jis Gharhi Alqama Kay Saahil Par-
Jal Gaey Khaimay Chin Gai Chadar-
Lut Gaya Ghar Sitam Huway Hum Par-
Ab Woh Ghazi (a.s) Bhi Na Raha Mera-(2)
Jo Tha Mushkil Mein Aasra Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba...

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka...
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba...
Mera Koi Nahi'n Raha Baba...

Baba Apni Aba Kay Saaey Mein-
Tum Nay Jis Laadlay Ko Paala Tha-
Us Ka Be Sar Sitam Zada Laasha-
Karbala Ki Zamee'n Peh Hai Rakha-
Meray Bhai Hussain (a.s) Ko Ban Mein- (2)
Eik Kafan Tak Bhi Na Mila Baba
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.

Jo Muhaflz Tha Rrieray Parday Ka.
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba.
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.

Baba Jo Tha Shabeeh Nana Ki-
Us Kay Seenay Mein Hai Sinaa'n Tooti-
Us Nay Torha Waha'n Peh Dam Baba-
Aur Meri Kamar Yaha'n Tooti-
Mera Akbar (a.s) Bhi Dasht-e-ghurbat Mein-(2)
Daagh Furqat Ka Day Gaya Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka.
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba.
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.

Jo Meray Aun (a.s) Aur Mohammad (a.s) Thay-
Dasht Mein Un Kay Hain Parhay Laashay-
Na Main Paani Pila Saki Un Ko-
Aur Duniya Say Woh Gaey Piyasay-
Ta Qayamat Tumhari Zainab (s.a) Ko-(2)
Ab Yehi Gham Rulaeyga Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka.
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba.
Mera Koi Nahi'n Raha Baba.



Meray Sar Say Chini Thi Jab Chaadar-
Aur Daaman Jala Sakina (s.a) Ka-
Main Nay Rotay Huway Sadaae'n Dee'n-
Mera Ghazi (a.s) Magar Nahi'n Aaya-
Meri Fariyad Sun Kay Maqtal Mein-(2)
Us Ka Laasha Tadap Gaya Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba....

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka....
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba....
Mera Koi Nahi'n Raha Baba....

Kaisa Manzar "sahab" Tha Gham Ka-
Jis Ko "farhan" Parhh Nahi'n Paaya-
Shaam-e-ghurbat Mein Aamad -e- Haider (a.s)-
Eik Qayamat Haram Mein Thi Barpa-
Baap Ko Daikh Kar Giree'n Zainab (s.a)-(2)
Khaak Par Aur Yehi Kaha Baba-
Mera Koi Nahi'n Raha Baba....

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka....
Ab Woh Ghazi (a.s) Nahin Raha Baba....
Mera Koi Nahi'n Raha Baba....3