wo shahensha-e-zaman, jisko kafan bhi na mila

1. Wo muhammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-ali
gulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kali
naam hai panjatan-e-paak may ba harf-e-jali
hurmatay deen-e-khuda jis ki shahadat may dhali
hote rehtay thay jisay hulla-e-firdos ata
wo shahensha-e-zaman...

2. Jhoola jibreel nay bachpan may jhulaya wo hussain
dosh par jisko payambar nay bithaya wo hussain
jis pay quran kay paaron ka tha saya wo hussain
pani dil khol kay dushman ko pilaya wo hussain
haye us bekas-o-nadaar ko pani na diya
wo shahensha-e-zaman...

3. Dasht may ghayr liya jisko bulakar mehmaan
saamne jis kay tadapta raha akbar sa jawan
khaynch li jis nay jawan bete ke seenay say sina
jis kay haathon pay huwa qatl pisar guncha dahan
aakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na raha
wo shahensha-e-zaman...

4. Khoob rotay hai jo apna koi marjaata hai
laasha be waali-o-waris ka kafan paata hai
aur taras khaake use koi bhi dafnaata hai
taaziyat kay liye dushman bhi chala aata hai
haaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khuda
wo shahensha-e-zaman...

5. Haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-ali
bhai ki laash pay mazloom bahan ro na saki
laashay urya pai lahu, chasme falaq roti thi
kalma padte thay payambar ka aur hastay thay shaki
laash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sada
wo shahensha-e-zaman...

6. Parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane walay
rahe aabad aza-khaane sajaane walay
aur salamat rahay nauhon ko sunanay walay
gham-e-sarwar may hai jo ashk baha nay walay
fatema zahra unhay khuld may deti hai dua
wo shahensha-e-zaman...

7. Zikr-e-maula may qalam rok na apna mehshar
dekh zainab kay nahi sar pay abhi tak chaadar
pursa deta rahay ashaar say sheh ka mehshar
rakh tasawwur may kai hai dasht may laash-e-sarwar
laashe uryaan ko udata rahay nauhoon ki rida
wo shahensha-e-zaman...