wo sare hussain, wo jaabir, woh karbala
wo shaam se palat ke jab aaya tha qafila
naqon ke jo chalnay se ubharne lagi sada
jaabir ne bhad ke qafilay waalon se ye kaha
ruk jao ke ye saltanat-e  ibn-e-ali hai
naqon pe yahan aana badi  be-adabi hai
jab is sada ko zainab-e-dilgeer ne suna
roi jigar ko thaam ke aur ro ke ye kaha
parwar-digar shukr hai tera bahot bada
jageer hai ye ghazi ki aati hai ye sada
phir is ke baad naaqay se khud ko gira diya
abbas ki behan ne tadap ke ye di sada
arey zainab hoon bhai zainab hoon bhai
bhai mai zainab hoon

ye karbala hai jageer teri
hum aaye teri jageer may
reh jaaye zindaan may hi sakina
ye bhi likha tha taqdeer may
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zinab hoon, ay bhai

bazaar-e-kufa se woh guzarna
ehle haram ke salaar ka
bhaiya sajaya tha ashqiyaan ne
ek ek kona bazaar ka
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

bhaiya tumhari ghairat ki khatir
baalon se parda karti rahi
chadar nahin thi sar per jo meray
ek ek qadam par marti rahi
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

bhaiya sakina ko ek shaqi ne
maanga kaneezi main jis ghadi
mai binte zehra mai binte Haider
bhaiya laraz kar mai reh gayi
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

kaisa andhera zindaan tha wo
jisme sakina jaan se gai
baba chacha se mujh ko mila do
masoom ro ro kehti rahi
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

kurta jo uska khoon may bhara tha
us ko banaya mai ne kafan
jab dafn karte thay us ko abid
tharra-raha tha un ka badan
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

zindan se chut kar main aa gai hoo
ranj-o-alam ki chadar liye
baazar-e-kufa may hain jo guzray
ankhon may saare manzar liye
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai

rehan zainab ki ye fughan thi
abbas-e-ghaazi ki laash per
deti kafan mai ay bhaiyya tumko
chinti na sar se chadar agar
pehchano mujh ko ay mere ghazi
zainab hoon, ay bhai