Jab Ali Akbar Sa Beta, Shah Ku Rab Nai Diya
Is Aatay-e-Kibriya Par Karbala Nai Di Sada
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 3

Us Ka Matha Chumti Thi Umm-e-Laila Baar Baar
Us Ka Chehra Dekh Kar Kehti Thi Ay Parwardigar
Yeah Bahar-e-Zindagi Hai, Yeah Mere Ghar Ki Bahar
Yeah Meri Pehli Tamanna, Yeah Mere Dil Ka Qarar
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Kaali Dori Bandhti Nanhe Kaalaaie Main Kabhi
Nanhe Sine Par Kabhi Karti Thi Dam Nad-e-Ali
Kehti Thi Murjaa-e-Na Maula Mere Dil Ki Kali
Ye Dil-e-Shabbir Hai Yeah Hai Hamari Zindagi
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Ghutniyoon Chal Nai Laga Jis Waqt Unka Sheer Khwar
Saaf Karti Apne Aanchal Sai Oh Uski Reh Guzaar
Ay Khuda Na Khasta Chub Jaye Na Bache Kai Khaar
Chalte Chalte Jab Oh Thakta Pusht Pai Karti Sawar
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Sab Futun-e-Harb Sikhlate They Abbas-e-Jari
Sahen Main Kursi Becha Kar Maa Bhi Aksar Dekhti
Mashq Kai Douraan Eik Din Youn Hi Neze Ki Ani
Chu Gaie Sine Sai Layla Par Ghashi Tari Huwi
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Eik Oh Din Tha Kai Jab Barchi Zara Si Chu Gayi
Umm-e-Laila Kamp Uthi Aur Ghashi Tari Huwi
Eik Ye Din Hai Maidan-e-Karbala Dekhe Koie
Hai Jigar Kai Paar Neza Aur Maa Hai Dekhti
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Kya Khabar Thi Umm-e-Laila Ku Oh Din Bhi Aaega
Byaah Ka Arman Dil Ka Dil Main Hi Reh Jaaega
Laash Qasim Ki Tarha Tukroon Main Dil Bat Jayega
Naujawan Ki Laash Par Sehra Sajaya Jaaega
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Umm-e-Laila Dil Sambhalo Arsh Sai Aayi Sada
Barchiyoon Ki Simt Jata Hai Tumhara Mehlaqa
Youn Karo Ruksat Kai Jaisay Ho Sama Baraat Ka
Khaq Main Mil Jaaegi Laila Shabh-e-Mustafa
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2

Kis Tarah Raihan Ho Us Guftugu Ka Ab Bayaan
Auratain Jab Sham Ki Kehti Theen Lekar Hichkiyaan
Jis Jawaan Ka Nouk-e-Neza Par Huwa Hai Sar Aayan
Us Jawaan Sai Pehle Ya Rab Margayi Ho Uski Maa
Maa Aur Ali Akbar Ki Maa X 2