Lega na jaane kitni ye karwate zamana
chahe har ek sheh ko dunya ki bhool jaana
ujda jo ek din may us ghar ko yaad rakna
ay momino payame sarwar ko yaad rakna
karbobala ke khooni manzar ko yaad rakna
ay momino payame....

aaghosh may tumhari masoom koi aaye
jab pyar se koi maa jhoola use jhulaaye
bano ki bebasi ko asghar ko yaad rakhna
ay momino payame....

aajaye jab kisi par taqdeer se yateemi
furqat may baap ki jab marjaye koi bachi
aulad walon meri dukhtar ko yaad rakhna
ay momino payame....

tumko khuda dikhaye khushiyo ka har sawera
khismat se jab bhi baandho apne pisar ke sehra
qasim ko yaad rakhna akbar ko yaad rakhna
ay momino payame....

dekho na zindagi may marna jawan pisar ka
bete ka daagh dil par hota hai umr bhar ka
laila ki hasraton ko akbar ko yaad rakhna
ay momino payame....

behno ko betiyo ko jab bhi rida udhana
hum bekaso ko hargiz dil se nahi bhulana
meri behan ke sar ki chadar ko yaad rakhna
ay momino payame....

beton ko jo na royi qurbaan karke mujh par
aur sar nahi uthaya ehsaan karke mujh par
us jaan nisaar meri khwahar ko yaad rakhna
ay momino payame....

aaye kisi taraf se matam ki jab sadayein
ahle aza ko mehshar dena agar duwayein
gulzaare hyderi ko sarwar ko yaad rakhna
ay momino payame.