Jis dum jale khayaam e shehenshahe behrobar
ek bacchi nikli khaime se, us dum barehna sarr
jalta tha daaman aag se, kapde the khoo'n mein tarr
maqtal ki simt rukh kiye, jaati thi nauhagar
sab rann mein jaake reh gaye, tanha hame kiya
aada cheeni chadare, khaima jala diya
ammu bhi gaye...., baba bhi gaye....(4)

1. Ta hadd e nazar laashe hai pade..(2)
baandhe halqa aada hai khade..(2)
ghar jalta hai, zarr lut-ta hai..(4)
waris na rahee....

2. Loota zewar cheeni chadar..(2)
hai aale mohammad nange sar..(2)
karte hai jafa, hum par aada..(4)
kaun ab roke....

3. Bar waqt phuphi khaime mein gayi..(2)
bistar hi jala bus khair hui..(2)
tap hai aisa, ghash mein bhaiyya..(4)
aabid hai pade.....

4. Dum ghut-ta hai phaila hai dhua..(2)
ab jaaye kaha'n jo paaye amaa'n..(2)
hai kaun yaha jo jaake waha'n..(4)
qasim se kahe....

5. Atthara baras yu paala tha..(2)
pardes mein akbar honge juda..(2)
sina koobi karti hai phuphi..(4)
karke naale....

6. Naalo se kaleja phat-ta hai..(2)
ek dard sa dil mein uth-ta hai..(2)
maa roti hai jaa'n khoti hai..(4)
asghar na rahe.....

7. Wo bayn anees ho kaise raqam..(2)
karti thi sakina jo purham..(2)
waqt e akhir uske lab par..(4)
naale ye rahe....
ammu bhi gaye...., baba bhi gaye....