He sog-e jis jagaa bhi. Shahe mashrakain-e ka. Khud-e pursa zehra ne di he. Is-e noor-e ain-e ka. Rona sawab jispe na rona haraam he.

Chashme khuda me iska baraa aitiraam he.

Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he. chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.

    Ye majlis-e he hamde khuda naat-e mustafa. In majliso me hota he quran-e lab kusha. In majliso me miltaha janat ka rasta. In majliso ki hoti he kuch asi ikhtidaa. Zakir ke lab pe pehle khudaa ka kalaam he.

    Chashme khuda me iska baraa aitiraam he.

    Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he. chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.
    In majliso me hoti he insaniyat ki bat. Zikra gham-e husain he waydaniyat ki bat. Ya majlise rasool ki hakaniyat ki bat. Rak karthi he ye majlise sufyani yat ki bat. In ke sabab to hur bhi alaihis salaam hai.

    Chashme khuda me iska baraa aitiraam he.

    Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he. chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.
    In majlis-o ko ajra risalaat kaha gaya. Roze azal se rone ka fitrat kaha gaya. Dilki lugat me isko mohabbat kaha gaya. Yani ise batul ke sunnat kaha gaya. Har rone ankh-e ko mere salaam he.

    Chashme khuda me iska baraa aitiraam he.

    Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he. chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.
    Ik majlise azaa jo huwi mulk-e shaam me. Zainab ne sab bichayi diya be imam ne. Ansu chope he yaad-e shahido ke naam me. Matam huwa jo yaad-e shah-e tish na kam me. Tabse gham-e husain-e zamaan-e me aam he.

    Chashme khuda me iska baraa aitiraam he.

    Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he. chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.
    Majlis me zikre bali sakina ki yaad karo. Pani piyo to yaad shahe karbala ki ho. Majlis me tazgaraa ali asghar ke jab suno. Ik raha sar de bhar ke tarap kar yahi kaho. Asghar bara shahido me tera mukaam he.