(Jab mera Hussain, Fatema ka cheyn) x2

Pushte raahwaar se khaak pe ghira

(Ya hussain) x3

Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai

(Ya hussain) x2

(Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2

    Jaan kar qareeb tar mera parwardigaar dekh

    Aashiq ka apne reyg-e-tapaa(n) par qaraar dekh

    Mera yakeen dekh mera etebaar dekh

    Mei kitna mutmain hu(n) idhar eik baar dekh

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    Pyaasa hu(n) teen roz ka zakhmo(n) se choor hu(n)

    Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hu(n)

    Che maah ho gaye mei watan se bhi door hu(n)

    Ab teri baargaah mei tere huzoor hu(n)

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    Ek qalb-e-natawaan be bahattar ka daagh hai

    Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hai

    Bazu burida sher ka Asghar ka daag hai

    Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hai

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    Eh keh ke jo khamosh huwe sibt-e-payambar

    Dekh ke sarhaane khari hai madar-e-muztar

    Shehzadi ke sar par hai pari khaak ki chadar

    Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    Mazloom ki imdaad ko aata nahi koi

    Paani dam-e-marg pilata nahi koi

    Zakhmo(n) pe lagi khaak churaata nahi koi

    Haay haay mere bache ko bachata nahi koi

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    Haider se kaha Zehra ne khof ata hai saheb

    Maa(n) hu(n) mera dil dard se tharrata hai saheb

    Ye dekhiye duniya se pisar jaata hai saheb

    Khanjar ko liye shimr chala aata hai saheb

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai

    (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    Farmaane lage maa(n) se basad ranj ye maula

    Kuch deyr mei ab kooch hai duniya se hamara

    Ay amma chali jaaye maqtal se khudara

    Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai

    (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    Ek baar jo khaymo(n) ki taraf yaas dekha

    Dekha ke dar-e-khaymaa(n) pe roti hai Sakina

    Ek hook uthi qalb mei rone lage maula

    Zainab se ishaaro(n) se kaha ay meri behna

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai

    (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    (Aawaz-e-ghaib aayi palat aa hussain aa) x2

    Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa

    Khun-e-pisar se tu hai wuzu ab to kar chuka

    Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha

    Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai

    (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    Jab ponchi behen bhaayi ke laashe pe khule sar

Dekha ke la'ee(n) pher chuka halq pe khanjar

Aur shimr liye jata hai sar gesoo pakar kar

Ay "Sarwar-o-Rehan" karo yaad wo manzar

Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai

As'salaamu alayka ya tharallahi wabna thaari

Wal witral mawtoor, ash'hadu annaka qad aqamtas-salaat

Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil ma'aroofi wa nahayta annil munkar

Wa ata'tallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen

As'salaamu alayka ayyuhash-shaheed

As'salaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom