Ana Ibn e Makka o Minna
bayaan karta hun darbaare shaam ka manzar
jahaan the saat sou kursi nasheen fitna gar
yazeed jhoom raha tha sharaab pi pi kar
aur aisi bazm me afsos Aal e Paighambar
tha un ke samne ek bad kalaam mimbar par
bayaan karta tha jhootey yazeed ke johar
jab us ne khatm ki taqreer bad kalami par
khateebe jahal se bole ye Abide a.s muztar
ke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magar
khareeda qehre Khuda tu ne mukhtasar zar par
arey jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hai
lakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab hai
kaha yazeed se kuch Main kahun ijaazat de
yazeed chup tha to darbari saarey kehne lage
yazeed de de ijaazat Ise bhi kehne de
Ye kya kahega larazta hai jo naqaahat se
sambhaale tauq o rasan Shaane Kirdegaar aayi
Imam a.s aaye ke mimbar pe Zulfiqar aayi
ya Hussain a.s ya Hussain a.s
ya Hussain a.s ya Hussain a.s
jis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aaya
wo akela tha magar surate lashkar aaya
lab kusha surate Quraan wo Haider a.s aaya
jab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chali (2x)
karbala me na chali thi jo wo talwaar chali
ana ibne makka o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
lehja e Noor me Moula ne kaha Bismillah
laiqe Hamd o Sanaa hai to wo hi ek Khuda
jis ne ham Ale Muhammad s.a.w.w ko hai takhleeq kiya
jis ko malum hai malum hai mera Shajraa (2x)
jo nahin jaanta wo sun le ta’arruf mera
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
ham ko Allah ne chhe khubiyaan bakhshi bakhuda
Ilm aur Hilm diya aur dile Momin me rakhaa
hai Samaa'at wa Fasaahat wa Shujaa'at wirsa
kam na thi khubiyaan chhe jo ke ye Izzat ke liye
Sifatain saath mileen aur Fazeelat ke liye
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
Ham me awwal jo the wo Ahmade s.a.w.w Mukhtaar huwe
koyi Hamza a.s to koyi Jafar e Tayyar a.s huwe
Ham hi Haider a.s huwe Abbase a.s Alamdaar huwe
Ham ko Mairaje Risaalat bhi Imaamat bhi mili (2x)
Ham ko Mehrabe Ibadat main Shahadat bhi mili
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a



Us ka Farzand hun seh roz raha Jo pyaasa
darmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laasha
Jis ke sajde ke sabab khaak bani Khaake shifaa
khaak aur khoon me dooba tha Ammama jis ka (2x)
sume asp’a taley ronda gaya laasha Jis ka
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
ahle insaaf ab insaaf se itna keh dain
Jis ki Chaukhat pe salaami ko Farishtey utrain
noke neza se laeen un ki ridaayen lootain
tum ne khaime nahin Allah ka ghar khaak kiya
kalma parh parh ke Muhammad s.a.w.w ka jigar chaak kiya
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
Jis ke parde ke liye Ayate tat’heer aaye
sang barsaate huwe un pe yahaan tak laaye
haif hai Roohe Muhammad s.a.w.w se na tum sharmaaye
Ham ne paabande rasan ho ke tujhe maara hai
ibne marjaana tu jeeta to nahin haara hai
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
baat jab khul gayi Sada’ate Muhammad s.a.w.w hain yahaan
ro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaan
aur isi shor me haakim ne diya hukme azaan
saat afraad jo yek musht azaan dene lage
haq me Sajjaad a.s ke darbaari bayaan dene lage
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
jab mo'azzin ne kiya Kalma e Takbeer adaa
bole Sajjaad a.s buzurgi hai usi ko zeba
jaise hi naam Muhammad s.a.w.w ka mo'azzin ne liya
mur ke haakim se kaha tere iraade bad hain
ye Muhammad s.a.w.w hain tumhare ke Hamarey Jadd hain
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
aib kyun apne chupata hai azaanen de kar
the agar tere Muhammad s.a.w.w to sitam kyun Ham par
daal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazar
zakhm jo tu ne diye sab dile Bimaar me hain (2x)
Betiyaan hain ye Muhammad s.a.w.w ki jo darbaar me hain
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
tu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillah
na Payambar s.a.w.w na Wahi aayi na Qura’an utraa
phir Azanen bhi tu darbaar me hai dilwaata
le munaafiq tere chehre se utarti hai naqaab (2x)
jis ka munkir hai wo Qura’an tera lega hisaab
ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne Ali a.s O Fatima s.a
is shaqaawat pe bhi Ham haare nahin jeet gaye
naam Azaano’n me tumhaare nahin Ham jeet gaye
kya ye Qudrat ke ishaare nahin Ham jeet gaye
yak ba yak Fat’he Mobeen sab ko nazar aane lagi
marhaba Sayyade Sajjad a.s sadaa chhaane lagi (2x)
boley phir Abide a.s Bimaar ye izzat dekhi
dekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhi
phir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhi
jis ka haami ho khuda kaun use zillat de
izzaten us ki hai Allah jise izzat de
haaye Hussain a.sa haaye Hussain a.sa
utrey mimbar se to Baba a.s ke katey Sar ne kahaa
Marhaba ay Mere Sajjad a.s Ghareebe Zehra a.s
Mo’jza Sarwar o Rehan falak ne dekha
ke Khutba e Zainab s.a o Sajjad a.s ne wo kaam kiya
hashr tak zikre Hussain a.s ibne Ali a.s aam kiya..