Hussain Hussain maula
Zainab ka hai armaan Hussain ka matam
chauda so baras se hai dunya me qayam
chauda so baras se
sajde me sar kataaya islam ko bachaaya
Shabbir ne jaan deke waade ko hai nibhaaya
chauda so baras se
Ahmad ka nawaasa tha Zehra ka dulaara tha
nau laakh la'eenon ne pyaasa jise maara tha
chauda so baras se
eksat sane hijri ko das mi ki qayaamat ko
chauda so baras bite maula ki shahaadat ko
chauda so baras se
islam ke mohsin ka sar neze pe aaya hai
saadaat ke gharon ko aada ne jalaaya hai
chauda so baras se
har saal moharram me ek sog ke aalam me
masroof zamana hai mazloom ke matam me
chauda so baras se
aashoor zamane me payghaam ye laata hai
shabbir ki ghurbat par jo ashk bahaata hai
chauda so baras se
zindaan ke andhere me ghurbat ke savere me
dafnaaya sakina ko aabid ne jo kurte me
chauda so baras se
Rehan o Shanaawar ne Sarwar ne Ali Jee ne
nawhon ki ibaadat se aabaad rakhe sine
Zainab ka hai armaan Hussain ka matam
chauda so baras se hai dunya me qayam
Social Plugin