Hassan Imam E Hassan Yabna Zehra

Mola Hasan Sabz Qaba Syedi Mola
Hassan Imam E Hassan Yabna Zehra

Panjtani Panjtani Panjtani Ya Hasani
Ya Hasan Ya Hasan Ya Hasan

Gulshan E Zehra Ka Hasan Phool Hai Pehla
Nana Muhammad Ka Nawasa Hai Ye Pehla
Mola Ali Ko Hai Mila Laal Ye Pyara

In Ki Fazeelat Main Hai Kafi Yehi Kehna
Kehte Imam In Ko Hain Shabbir Bhi Apna
Aaisa Bada Bhai Nahi Hoga Dubara

Aap Ki Mehmaan Nawazi Ke Hain Charche
Koi Na Bhooka Hai Gya Aap Ke Dar Se
Aaise Sakhi Shah Ko Hai Zehr Se Maara

Rote Hain Abbas Bhi Qasim Ko Sambhale
Zainab O Kulsoom Ke Shabbir Ke Nale
Tukde Jigar Le Ke Chala Bhai Hamara

Uthta Hai Taboot Mere Mola Hasan Ka
Teeron Se Chhalni Hai Janaza Bhi Hasan Ka
Itne Sitam Sehta Raha Mola Hamara

Bhai Ka Shabbir Ne Taboot Uthaya
Haye Kafan Bhi Nahi Shabbir Ne Paya
Qalb E Hasan Sabz Qaba Parah Hai Parah