Sakina Sakina Sakina

Inna Lillah

Inna Lillah

Inna Lillah

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

Qayamat Hai Zindan Me Aaj Barpa

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 


Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Hai Dastoor Ye Parde-Daron Ke Ghar Ka

Ye Beti Ka Lasha Hai Shab Me Uthega

Sitaaron Se Kah Do Ke Kar Den Andhera

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Falak Hil Raha Hai Zamiñ Kaañpti Hai

Laboñ Par Musafir Ke Naad e Ali Hai

Imamat Ke Haathon Me Hota Hai Larza

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Gale Se Laga Le Bahan Ko Utha Le

Janaze Ko Sajjad Kaise Sambhale

Hai Dhyaan IsKi Tooti Hui Pasliyon Ka

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Dua Kar Rahi Thi Musalsal Qaza Ki

Badi Aarzoo Thi Ise Karbala Ki

Chali Apne Baba Se Milne Ko Dukhiya

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Wo Kahti Thi Kab Ghar Ko Jayenge Bhai

Ye Hasrat Qaza Bhi Mitaane Na Payi

Madine Ki Janib Hai Dukhiya Ka Chehra

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Use Kya Khabar Thi Ke Aise Lutegi

Na Beta Rahega Na Beti Rahegi

Nikal Jaye Dam Hi Na Asghar Ki Maa Ka

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 


Sakina Sa Ka Lasha Noha Lyrics 
Sakina Sa Ka Lasha Noha Lyrics
 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

 

Watan Me Gharibul Watan Wo Tha

Hai Pardes Me Ye Ali Be-sahara

Uthaya Tha Haider Ne Zehra Ka Lasha

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Haye Takllum Ye Mayyat Hai Bekas Bahan ki

Kamar Jhuk Rahi Hai Gharibul Watan Ki

Bahattar (72) Janazoñ Se Bhaari Janaza

Uthate Hain Aabid Sakina Ka Lasha

 

Chale Aao Abbas Dene Ko Kandha

Uthate hain Aabid Sakina Ka LaSha

 

Sakina Sa Ka Lasha Noha Lyrics