Ye Karbala Hai Ye Karbala Hai

Nazar Mein Leke Bahattar Shahadato Ka Nizam-
Hilal Se Shabe Ashur Keh Rahe Hai Imam (as)-
Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai-
Suno Hilal Suno Suno Hilal Suno

Shahadato Ka Yeh Ek Silsila Hai Batarteeb-
Banegi Kal Isi Maqtal Ki Khaaq Sab Ka Nasib-
Na Dekh Paaoge Jo Waqt Aarahan Hai Kareeb-
Shahid Hoge Yahan John Aur Zohairo Habib-

1)
Palat Ke Aayega Koi Baraye Kurbaani-
Tumhe Khabar Hai Kai Deen Se Band Hai Paani-
Ada Karenge Bhala Kaise Haqqe Mehmaani-
Yahan Pe Khoon Mein Dubegi Hur Ki Peshaani-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

2)
Woh Laal Jo Hame Lagte Hai Jaan Se Pyaare-
Karenge Jung Yahi Teen Roz Ke Pyaase-
Lahoo Lahoo Nazar Ayenge God Ke Paale-
Shahid Hoge Yahan Naunihal Zainab (sa) Ke-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

3)
Bayaan Shahadate Qasim Ka Ab Karain Kaise-
Naa Baaz Ayenge Ek Zulm Par Jafa Waale-
Bhagaye Jayenge Us Jism Naaz Par Ghode-
Simat Na Paayege Paamal Laash Ke Tukde-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

4)
Ajib Zakhme Jigar Hai Ye Ranjo Gum Ki Asaa-
Rahega Kaun Madad Gaar Ab Hussain (as) Ke Paas-
Hame Zaeef Kiye Jaaraha Hai Yeh Ahsaas
Na Kar Furaat Se Aayege Laut Kar Abbas (as)-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

5)
Lahoo Bhare Huwe Mashko Alam Jab Aayege-
Kamar Pakad Ke Sare Dasht Beth Jaayenge
Phir Aysa Quwate Baazu Kahan Se Laayenge
Bagair Bhai Ke Khaime Mein Laut Aayege-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

6)
Hamara Laal Jo Akbar(as) Hai Mustafa (saww) Jaisa-
Sinaane Zulm Woh Apne Jigar Pe Khaayega-
Nazar Ke Saamne Hoga Jawaan Ka Laasha-
Ajib Waqt Mein Aayega Qasid-e-sughra (sa)-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

7)
Yahan Pe Hoga Sitam Aysa Ek Bache Par-
Zamino Arsh Bhi Hojayen Jis Pe Zero Zabar-
Tum Hi Bataao Ke Hum Baap Hain Kahain Kyun Kar-
Yeh Woh Jagaah Hai Jahan Hogi Turbate Asghar (as)-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

8)
Tasavuraat Mein Jaakar Zara Udhar Dekho-
Namaze Asr Ke Manzar Ko Ek Nazar Dekho-
Nasheb Mein Tahe Khanjar Hamara Sar Dekho-
Jo Dekh Paao To Zehra (sa) Ko Nauhagar Dekho-

Lahoo Mein Dubi Huwi Dastaan Sunate Hai-
Hilal Aao Tumhe Karbala Dikhate Hai- Suno Hilal Suno, Suno Hilal Suno

9)
Jahan Pe Khud Koi Mazlum Apni Baat Kare-
Har Ek Lafz Pe Aanko Se Behre Ashk Bahe-
Padhe To Kis Tarah "mesum" "Kaleem" Kaise Likhe-
Baiyaze Gum Hai Musalsal Hussain (as) Ke Fikre-