Sog Mai Doobi Saari Fiza... Ya Hussain!
Ghar Ghar Mai Matam Hai Bapa... Ya Hussain!
Aya Nazar Jab Mah e Aza, Ro Ro Ke Azadaro Ne Kaha

Aey chand muharram ke tu badli may chala ja
Tujhay dekh kay mar jaaye na beemar hay Sughra

1) Ghar Zehra ka lutnai ki khabar tu nay sunai
Tujhay dekh kay roti hay Muharram main khudai
Chauda so baras beetay (x2) sab kertay hain shikwa

2) Milnay kay liye bhai ko baichain bari hay
Kab say Ali Akber ki yeh rahoon main khari hay
Bichiri hay yeh muddat say (x2) issay tu na nazar aa

3) Bhayya ki judai main paraishaan hay rehti
Har roz yeh nana ko ro ro kay hay kehti
Akbar na mila nana (x2) may mar jaun gi tanha

4) Wada Jo Kiya Behen Ko Seene Se Lagakar,
Mai Shaadi Karoonga To Tere Paas Hi Aakar
Mai Saat Moharram Ko Lautoonga Na Ghabra

5) Behno Ko To Bhayyon Se Rishta Hi Ajab Hai
Tum Bhool Gaye Mujhko Ye Kaisa Ghazab Hai
Iss Aas Pe Zinda Hoon Dekhoon Tera Sehra