Amma Fizza, Amma Fizza
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Kaisa Hai Yeh Charaghan Dill Doobe Ja Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Itna Chale Hain Paidal Kaanton Pe Sare Qaidi
Thak Jati Chalte Chalte Chalti Agar Zameen Bhi
Pairon Ke Aable Bhi Aansoo Baha Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Hain Log Kis Tarah Ke Hum Say Dua Karayen
Ae Qaidiyon Dua Do Yeh Din Na Hum Pe Ayen
Le Kar Duayen Hum Se Dill Bhi Dukha Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Naizon Pe Jitne Sar Hain Ek Sar Hai Un Mein Aisa
Ankhen Hain Band Us Ki Aur Khak Par Hai Girta
Abbas Ka Ye Sar Hai Taiwar Bata Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai


Naizon Pe Jitne Sar Hain Ek Sar Hai Un Mein Aisa
Ankhen Hain Band Us Ki Aur Khak Par Hai Girta
Abbas Ka Ye Sar Hai Taiwar Bata Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain


Maaon Ki Godiyon Se Lipte Huye Hain Bache
Hain Hath Rassiyon Mein Maaaon Ke Aise Jakrhe
Bache Jo Gir Rahe Hain Woh Marte Ja Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain


Naize Pe Ro Raha Hai Mushkil Kusha Ka Beta
Na Mehramon Ke Lab Par Aaya Hai Naam Mera
Mujh Ko Kaneez Zade Yun Bhi Rula Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Sajjad Ka Kalaija Sad Paash Ho Raha Hai
Ek Ek Zakhm Un Ka Is Gham Mein Ro Raha Hai
Zainab Ka Naam Le Kar Ahdaa Bula Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Rehan Qaidiyon Mein Barpa Hai Shor E Giriya
Palkon Se Kar Rahi Hain Matam Jo Binte Zahra
Sajjad Noha Khuwan Hain Noha Suna Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain


Kaisa Hai Yeh Charaghan Dill Doobe Ja Rahe Hain
Kya Shaam Aa Gaya Hai
Amma Fizza Bata De Mujh Ko
Pathar Kiun Aa Rahe Hain

Amma Fizza, Amma Fizza