shaheedo'n ke hain ye janaze
ghareebo'n ke hain ye janaze

azadaro'n aao mil kar uthao
72 ke taboot hain

tum aashoor ka din tasawwur mein laao
72 ke taboot hain

azadaro'n aao mil kar uthao
72 ke taboot hain

1) 72 ka ek din mein farzand e zehra 
janaze utha kar akele hi laya
bari bebasi se har ek simt dekha
nahi tha koi bhi madad karne wala
tum aashoor ka din tasawwur mein laao

2) hua jinka maqtal mein pamaal laasha
kahi'n par badan the kahi'n unka sar tha
wo jinko kafan bhi mayassar na aya
nahi tha janazo pe un sab ke saya
rakho phool in par kafan tum urhao

3) burair o zuhair aur hur, wahab e qalbi
hain jaun aur aabis ke jaise sipahi
saeed aur shozab, habib e hussaini
wo asghar hon qasim hon akbar ya ghazi
hum inke hain waris jahan ko batao

4) hain inme sabhi syeda ke dulare
jinhe bawafa bhai keh kar pukare
sabhi the hussain ibne haidar ke pyare
alam ke hi saye mein rehte the sare
tum inn par alam ka pharehra bichhao

5) ek aisa ho taboot jis par ho sehra
uthe ek taboot gathri ke jaisa
ho taboot ke sath nan'nha sa jhoola
magar hai jo taboot rab e wafa ka
sakina ka mashkiza us par sajaao

6) ab is silsile ko hai aage barhana
jab aao to bachcho'n ko humraah lana
unhe ye adab aur saliqa sikhana
wirasat ye naslo'n ko tum saunp jana
jo zehra se wada kia wo nibhao

7) ye azlan o mesum jahan ko batana
shah e dee'n ko in sab ne tanha na chhora
hum inko bhi hone nahi denge tanha
duaein hamain dengi khud bibi zehra
dilo'n ki muradain yahan aake paao

72 ke taboot hain

azadaro'n aao mil kar uthao
72 ke taboot hain