Binte Ali Ka Hai Noha
Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Pas E Gardan Rasan Bandhi Baba
Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Mainy Sooraj Na Umar Bhar Dekha
Ab To Dekhun Gi Har Gali Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Bazoo Choomay Jo Tum Nay Ghazi Kay
Main To Us Din Hi Mar Gai Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba

Atthara Baradar Thay Meray
Aur Aaj Hun Main Bey Chadar
Main Sharm O Haya Ki Malka Hun
Hanstay Hain Sitam Gar Mujh Par

Darbar Mein Kaisay Jaon Gi Haye
Yeh Soch Ky Main Roti Hun

Ay Kash Mujhay Maot Aa Jaye
Karti Hun Duayen Ro Kar


Main Kahan Koofa Aur Sham Kahan
Kya Main Nazon Ki Na Pali Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Jaisay Haq Apna Maan Nay Manga Tha
Waisay Chadar Main Mangun Gi Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Ab Woh Bibi Chalay Gi Kaanton Par
Jo Na Paidal Kabhi Chali Baba

Kaisay Main Shaam Jaun Gi Baba

Noha Zaamin Yeh Karti Thiin Bibi
Zakhm Kitnay Uthaun Gi Baba

Kaise Main Sham Jaungi Baba

Boliin Bibi Yeh Mazhar o Farhan
Dill Ki Zaamin Hun Aaj Bhi Baba

Kaisay Main Sham Jaongi Baba