Na Bhoolay ga Sajjad Noha Lyrics

 

Haye! Haye! Haye..! Haye..!
Haye! Haye! Haye..! Haye..!

Sajjad…..


Mola Sajjad Ka Nauha Sunte Hi
Aza Khana-e-Dil Me
Ho Gayi Majlis Barpa (Haye Sajjad..)
Ho Gaya Matam Barpa (Haye Sajjad..)

Haye ! Sajjad…
Ho Gayi Majlis Barpa
Ho Gaya Matam Barpa

 

Tarikh Gham e Sajjad me ye
Arbaab e maqaatil ne likha
Noman Bine Manzar Se Ye
Sajjad Ne Ik Din Farmaya

Aaghaz e Safar Se Aakhir Tak
Kya Kya Na Sitam Guzre Ham Par
Hañ Saat Masaib Aise The
Jo Sakht Tareen Huye Ham Par


Sajjad Ki Ghurbat Wa-Waila
Haye Wo Qayamat Wa-Waila
Wo Sitam Wo Sakhtiyañ
Aur Shaam Ka Wo Raasta

 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Talwar Aur Nezoñ Se Ham Par
Wo Hamla Karte Jate The
Logoñ Ki Bheed Me Laate The
Aur Dhol o Tawal Bajbaate The

Haste The Wo Ham Par Wa-Waila
Saadaat Ke Gham Par Wa-Waila
Shaam Ki Raahoñ Me Jitna
SarKashoñ Ne Tadpaya

 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Abbas Aur Baba Ka Sar Wo
Fufiyoñ Ke Samne Rakhte The
Akbar Aur Qasim Ke Sar Se
Mere Samne Shaami Khelte The

Kahti Thi Sakina Wa-Waila
Ae Shahe Madina Wa-Waila
Haye Shohda Ke Saroñ Per
Daudna Wo Ghodoñ Ka

 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Ik Mod Pe Shaami Logoñ Ne
Jab Aagh Gharoñ Se Barsayi
Wo Aagh Bujhata Main Kaise
Jo Mere Amame Par Aayi

Mere Haath Bandhe The Wa-Waila
Hañ Sab Dekh Rahe The Wa-Waila
Jal Gaya Mera Amaama
Jal Gaya Sar Bhi Mera

 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Wo Shub’ho Se Lekar Shaam Talak
Galiyoñ Me Firate The Hamko
Bazaar Me Sabke Samne Wo
Durre Bhi Lagate The Hamko

Logoñ Ko Bulakar Wa-Waila
Ye Kahte The Sitamgar Wa-Waila
Ye Haiñ Baghi Inko Maro
Waqt Tha Ham Par Kaisa

 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Hañ Karbobala Se Shaam Talak
Ham Ek Rasan Me Jakde The
Allah.. Allah
Ahle Khaibar Aur Khandak Ke
Ghar Ke Aage Se Jab Guzre

Fufiyoñ Ka Wo Rona Wa-Waila
Zalim Ka Wo Kahna Wa-Waila
Ye Ali Ki Betiyñ Hain,
Aao Inse Lo Badla

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

 

Hañ Ik Bazar Aisa Bhi Tha
Khuddam Jahañ Par Bikte The
Afsos Ghulamoñ Ki Tarhañ
Wo Hamko Bechna Chahte The

Haye Haye Haye

Ye Ham Kahte The Rokar Wa-Waila
Allah Madad Kar Wa-Waila
Koi Bhi Aisa Nahi Tha
Jisne Patthar Na Mara 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye ! Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad


Zeeshan e Aza, Irfan e Aza
Sajjad Ne Ro kar Farmaya
Hameñ Aise Maqamoñ Par Rakkha
Jahañ Chhat Thi Na Koi Saya Tha

Hañ Din Ki Wo Garmi Wa-Waila
Aur Raat Ki Sardi Wa-Waila
Pyas Ki Halat Me Na Pooñchho
Kitna Mushkil Tha Jeena
 

Wallah.. Sajjad

Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Haye Shaam Ka Wo Bazaar
Na Bhoolega Sajjad
Na Bhoolega Sajjad

Ho Gayi Majlis Barpa
Ho Gaya Matam Barpa