Sughra Ko Muharrm Ka Jab Chand Nazar Aaya
Yaad E Sheh Mola Ne Dil Aur Bhi Tarpaya

Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Aageya Mah E Muharram Haan Nahi Aaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Yaad Pardais Main Aati Hai Lahad Amma Ki
Ghar Ka Ahwal Sunane Ko Kaha Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Na Aaye
Aary Kaisay Is Haal Main Sughra Se Jiya Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Jab Se Ye Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai
Amma Roti Hai Tujeh Aye Mere Maa Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Koi Tasweer To Zahra Ki Rahi Parde Main
Haye Ye To Acha Huwa Sughra Ko Nahi Laye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen
Kaisay Jaagir Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Eid Bhi Soog Ke Aalam Main Guzari Uss Ne
Haye Akbar Kabhi Kahti Thi Kabhi Haye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Mustakil Shah Ki Aakho Se The Aansu Jari
Khat E Sughra Ko Mukammil Nahi Parh Paye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Ik Ik Beti Se Rukhsat Huwe Khame Main Magar
Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Likh Ke Noha Ye Takallum Ne Dua Magi Hai
Har Azadar Ko Aashur Pe Bulwaye Hussain