Abbas Abbas Abbas
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar

Saqqiye Aale Abba Abalfazl
Tishna Labe Karbala Abalfazl
Chishma E Aabe Baqa Abalfazl
Ya Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Karb Shabir Ke Chehre Se Mitane Wale
Ranj Se Aale Muhammad Ko Churane Wale
Tham Le Hath Pareshan Azadaron Ka
Aye Sakina Ke Liye Bazu Katane Wale
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Toot Jaye Na Meri Aaas Hai Umede Haram
Mere Zakhmo Ka Faqt Aap Ho Ghazi Marham
Arbaien Pe Hame Bulwale Ziyarat Ke Liye
Aap Ko Pehlu Shakista Kisi Bibi Ki Kasam
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Hum Ko Dunya Ka Tarafdar Na Hone De Na
Sirf Bato Ka Azadar Na Hone De Na
Sadqa Shehzadi Ruqaiya Ke Bhandhe Hathu Ka
Ham Ko Mushkil Main Giraftar Na Hone De Na
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Likhdo Taqdeer Main Phir Karbala Jana Ghazi
Apna Darbar Hame Jald Dikhana Ghazi
Wasta Deta Hu Zakhme Ali Akbar Ka Tume
Karbala Sare Javano Ko Bulana Ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Os Ghari Nazro Main Ashur Ki Ro Yaad Aai
Aansu Aakhu Main Bhare Honto Pe Faryad Aai
Samne Pani Tha Our Pi Bhi Nahi Saqta Tha
Mujko Roze Main Teri Peyas Bohat Yaad Aai
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Tum Ho Shabir Ki Beti Ka Sahara Ghazi
Bin Tumhare Na Huwa Os Ka Guzara Ghazi
Shimr Ne Jab Bhi Sakina Ko Tamache Mare
Os Ne Baba Ko Nahi Tum Ko Pukara Ghazi
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Os Ghari Khama E Sadat Main Kohram Huwa
Khoon Bhara Jis Ghari Rn Se Tera Parcham Aaya
Peyasi Mar Jaugi Aur Pani NAhi Magu Gi
Toor Kar Quze Ye Masoom Sakina Ne Kaha
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Tum Ne Aacha Huwa Bhai Ki Na Ghurbat Dakhi
Tane Deta Tha Koi Shah Pe Hasta Tha Koi
Apne Bhai Ki Madad Ke Liye Rn Main Aa Kar
Lash Zainab Ne Uthai Hai Ali Akbar Ki

Shah Ne Ro Kar Kaha Abalfazl
Uthu Mere Bawafa Abalfazl
Tanha Hai Bhai Tera Abalfazl
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar

Aakhari Lamho Main Shabir Bohat Peyase Thy
Bari Hasrat Se Sowe Nahar Nazar Karte The
Shimr Has Has Ke Lagata Raha 13 Zarbain
Aur Har War Pe Shabir Sada De Te Thy
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Mir Sajjad Beya Kese Kare Wo Manzar
Sham Ki Foj Main Jab Aag Lagai Aa Kar
Chinne Aa Gaye JAb Sar Se Rida Zainab Ki
Os Ghari Kehti Rahi Saniye Zahra Ro Kar
Abalfazl Abalfazl Abalfazl Alamdar

Abbas