Ali Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali Ali

Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga
Gungunaa Ke Ghadiri Taranah
Poora Kalma Sunana Parre Ga

Hamsari Kar Raha Hai Ali Se
Theek Hai Hum Bhi Manen Ge Lekin
Sheikh Tujh Ko Bhi Do Unglio Se
Bab E Khyber Uthana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Keh Ke Marhab Se Yeh Tegh Haider
Le Ke Angrai Gardan Pay Baithi
To Bohat Urr Raha Hai Hwa Mein
Tairay Sir Ko Urana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Mout Jeeney Ki Day Gi Duayen
Zindagi Naz Uthaye Gi Lekin
Bughz Haider Ke Mozi Marz Se
Apne Dil Ko Bachana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Yaad Rakh Murteza Ke Mukhalif
To To Kya Tairay Baap Ko Bhi
Jaye Paidaiesh Murteza Pay
Apne Sir Ko Jhukana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Ya Hussain Apne Seenay Pay Likho
Ya Ali Likh Lo Apne Labon Par
Phir Fashaar Lehad Bhi Nah Ho Ga
Aur Nah Shajrah Batana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Ghar Ko Jannat Numa Hai Banana
Anbia Ko Agar Hai Bulana
Ae Musalmaan Tujhe Apne Ghar Mein
Jashnn Haider Manana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Baagh Jannat Mein Jana To Koi
Masla Hi Nahi Mere Bhai
Haan Magar Dar Pay Rezwa Ko Pehlay
Naqsh Maatam Dukhna Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Noor Ashqِ E Ali Dil Mein Bhar Ke
Khakِ E Karb O Bala Se Sanwar Ke
Baghِ Jannat Mein Farhan O Gohar
Karbala Hoke Jana Parre Ga
Gr Hai Jannat Mein Jane Ki Khwahish
Bazm E Haider Mein Aana Parre Ga

Ali Ali Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali Ali