Akbar Ali Akbar (as) ●Shiddat e Sabr Sy Mar Jaye Na Maa Akbar (as) Ki Din Madinay Main Woh Taqdeer Ny Dikhlaya Hai Jisne Mari Thi Kalajay Main Sinah Akbar (as) Ky Ban Ky Mehmaan Woh Sajjad (as) Ky Ghar Aya Hai Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Sheh Taraptay Hain Qabr Ky Andar Maa Tarapti Hai Qabr Sy Bahar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Phir Wohi Kaifiyat Hai Laila Ki Haal Tha Jo Jawan Ky Lashay Per Uske Qadmon Ki Ahatain Sun Kar Maa Ny Thama Hua Hai Apna Jigar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Chehra Karbobala Ki Janib Hai Pani Hathon Main Ly Ky Roti Hai Gir Raha Hai Nigaha Main Maa Ki Ali Akbar Ki Maut Ka Manzar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Umme Laila Sambhal Zainab Ko Kal Yea Shabbir Dy Rahe Thy Sada Ajj Abid Phuppi Sy Kehte Hain Maa Ko Meri Sambhaliye Ja Kar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Qabr e Zahra Sy Arhi Hai Sada Isne Mara Hai Mere Baba Ko Phir Madinay Main Ekk Qayamat Hai Phir Raha Hai Mazar e Paighambar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Ali Akbar Lipat Ky Qadmon Sy Keh Rahe Honge Apne Baba Sy Toot Jaye Na Zabt Ka Bandhan Hosla Maa Ko Dijiye Ja Kar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Sar e Akbar Utha Ky Nezay Per Umme Laila Ko Yea Dikhata Tha Usko Kaise Woh Bhool Sakti Hai Jis Sy Khaye Thy Sham Main Pathar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Yea Kareemi Sy Ruk Nahi Saktay Qatilon Ko Duain Detay Hain Is Sy Pehle Ky Baksh Dain Abid Koi Mukhtar Sy Kahay Ja Kar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Tumne Ny Sajjad Mujh Ko Pechana Sun Ky Qatil Sy Bolay Yea Maula Tou Woh Ibne e Numair Hi Hai Na Jisne Tukray Kiya Humara Jigar Kal Thy Mehmaan Hum Teray Zalim Ajj Mehmaan Tou Humara Hai Aur Kuch Chahiya Bata Tujh Ko Abhi Kehdon Phuppi Sy Main Jakar Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar ●Dil Nahi Lagta Ajj Ghar Main Mera Aye Takallum Yea Maa Ka Noha Tha Tham Kar Boli Mere Bazu Ko Le Chalay Fatima Ki Turbat Per Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar