Mohammad ka gharana Mohammad ka gharana

Mohammad ka gharana Mohammad ka gharana



Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Noke naiza pe bhi qur'aan 

Noke naiza pe bhi qur'aan, sunane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Ye jafao'n ke sile mein bhi dua dete hai

Apne qatil ko bhi sharbat ye pila dete hai

Ek sajde se ye islam.

Ek sajde se ye islam. Bachane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Ek mashkeeze mein darya ko utha lete hai

Ye to khud pyaas ko darya ki bujha dete hai

Pyaase darya se palat kar hai

Pyaase darya se palat kar hai, ye aane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Baat ho haqq ki to ye maut se ghabrate nahi

Ilm hai inko shahadat hai shehad se sheeree'n

Maut ko jeene ke aadab

Maut ko jeene ke aadab, sikhane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Apne haatho'n pe uthate hai kabhi khaiber ko

Aur zara maqtal e akbar ki taraf to dekho

Budhe kaandho' pe jawaa'n laash

Budhe kaandho' pe jawaa'n laash, uthane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Door tareekiye aalam ko kiya shahe zaman

Naam e ahmed ke diye karke dilo'n mein roshan

Apne khaime ke charagho ko

Apne khaime ke charagho ko, bujhane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Laashe paamaal hui qaidi bane ghar bhi jala

Phir bhi paigham mohammad ka mitaye na mita

Tanha nau laakh ke lashkar ko

Tanha nau laakh ke lashkar ko, harane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale



Humne yu meesum o salman baqa paayi hai

Chauda sadiyo'n se jo naslo'n mein azaa aayi hai

Nasl dar nasl azadaaar

Nasl dar nasl azadaaar, banane wale

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.

Mohammad ka gharana Mohammad ka gharana