Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi

Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi 



Har ek gham se bacho hussain hussain karo

Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi 

Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi 



Tumhare ashko ko mai saath leke jaaungi

Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi 

Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi 



Wo jin gharo me azakhanae hussain saja

To un gharo me rahega sada qayaam mera

Ye mera wada

Ye mera wada hai har haal me nibhaaungi



Shabihe jhulae asgar sajayenge jo bhi

To unki godiya khaali nahi rahengi kabhi

Mai unko sadqae besheer de ke jaaungi



Alam bayade alamdar jo uthaayenge

Diler aur wafadar honge wo bacche

Mai unke dilse har ek khauf ko mitaaungi



Haa wo yateema jo tarikiyo me thi har dam

Charaag yaad me uski jala ke rakhna tum

Mai us yateemae shabbir ko bhi laaungi



Thi ek bahan jise armaan reh gaya tha kabhi

Jo ho sake to saja lena ek sehra bhi

Mai ashke fatema sughra na bhool paaungi



Mere hussain ka tabooto taziya rakhkar

Karoge giryao matam rahoge nauhagar

Mai apne ashko se taboot wo sajaaungi



Bataya jafare sadiq ne waise hi rona

Chupa ke aasu na shabbir pe buka karna

Karungi mai bhi buka ashke gham bahaaungi



Jo haq hai purse ka is tarah se ada karna

Salamo soz padho aur marsiya padhna

Mai iska ajr tumhe hashr me dilaaungi



Payam meesumo salman pohche ye sab tak

Bahisht me na chale jaaye matami jab tak

Qasam hussain ki 

Qasam hussain ki mai khuld me na jaaungi