Azakhana, azakhana Azakhana, azakhana

14 ho alam, ek mashkiza

Besheer ka ek nanha jhula

Do baaliya'n choti bibi ki

Ek shamma jalakar tum rakhna

Aur yaad mein ho ek dulha ki

Kuch mehendi kangana aur sehra

Ghar mein yu azaa khana jo saja

Paoge bohot zahra ki dua

Paoge bohot zahra ki dua



Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Ae ehle aza e shahe huda

Is deher mein jab tak ho zinda

Tehzeeb e azadari hai yehi

Do kaam zaruri tum karna

Do kaam zaruri tum karna

Majlis mein chale aana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



An amta alayhim ki ayat

Ya phir rehman ka ho surah

Shamil hai azakhana usmein

Nemat ka jaha'n bhi zikr hua

Nemat ka jaha'n bhi zikr hua

Nemat ko na thukrana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Be dast hua saqqa lekin

Usne na alam ko jhukne diya

Pehchan e aza khana hai alam

Paigham yehi abbas ka tha

Paigham yehi abbas ka tha

Duniya se na ghabrana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Tazeem kabhi na kam karna

Ta hashr rahe hurmat baaqi

Ye sirf azakhana hi nahi

Armaan e dile zahra hai yehi

Armaan e dile zahra hai yehi

Bachho'n ko ye samjhana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Jis waqt chhida tha mashkiza

Jab aayi khabar ghazi na raha

Kuch kooze pyaase baccho ke

Haatho'n se gire aur toot gaye

Haatho'n se gire aur toot gaye

Kuch kooze bhi rakhwana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Rahib ki tarha mil jaye pisar

Ya hurr ke tarha bakhshe jao

Fir shukr adaa karne ke liye

Tum bhi ye saleeqa apnao

Tum bhi ye saleeqa apnao.

Aise ho ye shukrana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Shabbir ye zainab se bole

Kuch kaam abhi bhi baaqi hai

Zalim jo shaheedo'n ke sar de

Wo pehle azakhane mein sajein

Wo pehle azakhane mein sajein

Jab shaam bahan jaana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana



Salman ke meesum ke jis din

Aamal liye jayein yakja

Jab tum se sawaal malak puche

Duniya mein kiya kya kaam bhala

Duniya mein kiya kya kaam bhala

Tum fakhr se likhwana, sajana azakhana

Zahra ki dua paana sajana azakhana 

Zahra ki dua paana sajana azakhana