Allah Allah - 6
Sajjad aur raahe shaam..
Haa...
Jab raahe shaam me thak kar ke 
Pyaaso ka qafila baith gaya - 2
Sajjad bulakar Baqar ko 
Dheeme dheeme yeh kehta tha...

Waada karo...
jabtak jiyenge..
maatam karenge..
Dono rahenge sogwaar...

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar hu aur tum bhi Azaadar - 2

1.Mai Aadam e saadat hu kehta hai zamana
Marjau agar raah me yeh bhool na jaana
Ho tum hi mere baad mere waaris e dastaar

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar hu aur tum bhi Azaadar..2

2.Baqar zara dhundo meri hamsheer kaha hai
Baba ka jaha sar hai yaqeenan woh waha hai
Kehdo use aage hai safar aur bhi dhushwaar..

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar...2

3.Asgar ki tarha pyaas se behaal hua hu
Kasim ki tarha mai bhi toh paamal hua hu
Akbar ki tarha mere bhi seene pe hue waar...

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar...2

4.Hai naam Ali mera mohammed hai tera naam
Kyu karna mache arsh pe yeh dekh ke kohraam
Hai tere rasan haatho me aur mai hu giraftaar

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar...2

5.Beta yeh iraada hai khuda wande jali ka
Baazaro se ab hoga guzar binte Ali ka
Roega hame dekhke naize pe Alamdaar..

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar...2

6.Kya kya na sitam dhaaye hai baazare sitam ne
Baalo se chupa rakha tha chehro ko haram ne
Gairat ka janaaza tha sare majmaye agyaar..

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar...2

7.Aye Akhtar o Irfan e Azaa ehle azaa se
Kehdo ke na ghaafil rahe maatam ki sadaa se
Hai yehi sadaa marhame zakhme dile beemar

Baqar se yehi kehte rahe Aabid e Beemar

Ha mai bhi Azaadaar hu aur tum bhi Azaadar...2

Allah Allah - 4