●Lylatul qadr ka tarjuma Fatima
La fata kay khuda ka pata fatima

●Sayyeda,Tahira,Raziya,Marziya

●Hai yahi sub se bara tera qasida Zehra
Baap kehta hai tujhe Umme Abiha Zehra

●Qul e eman ne parhi hai tere anchal pe namaz
Kyun na phir tujh ko kahun kabe ka kaaba Zehra

●Lylatul qadr ka tarjuma Fatima
La fata kay khuda ka pata fatima

●Anbiya ke hain mushkil khusha Murtaza
Murtaza ki hain mushkil khusha Fatima

●Yeh na hoti to kuch bhi na hota kahin
Kun ka matlab hai kiya Fatima Fatima

●Teri Fizza ki dehleez se mang ker
Moujize le gaye anbiya Fatima

●Qabr e Masooma qom dikha di mujhe
Haq se pucha jo tera pata Fatima

●Jab bhi meraj ki dil mai khuwaish hui
Tere ghar agaye, Mustafa Fatima

●Gasibon pe jo lanat nahu bhejta
Aesq beta hai kis kam ka Fatima

●Tum bhi parde mai thin kuch to waze karo
Aur meraj mai kiya hua Fatima

●Ban rahy haun kad o khal Abbas ke
Hain musalle pe mehw e dua Fatima

●Ja ke dekho likha hai yeh tariqh mai
Kis se ho kr gayib hain khafa Fatima

●Haq ki tareef likhni thi ik lafz mai
Bus taqallum ne phir likh dya Fatima