https://www.humaliwalayazadar.com/2020/05/ayyam-e-ali-nohay-2020.html https://www.humaliwalayazadar.com/2020/03/manqabat-2020.html https://www.humaliwalayazadar.com/2020/01/ayyam-e-fatima-nohay-2020.html

Meri Sughra Ko Kya Pata Noha Lyrics Nadeem Sarwar 2020

Haaye!!!
Meri sughra ko kya pata..(2)
Na qasim mehendiya wala..
Ya Hussain, Ya Hussain..(2)
Na akbar sehreya wala
Na asghar loriya'n wala
Na ghazi alma'n wala
Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)

1. Meri sughra ko kya pata
Wo khaak pe mera akbar
be baazu sher e dilawar
wo tukde qasim e muztar
wo khoon mein dooba lashkar

Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)

2. Meri sughra ko kya pata
Mai laakho'n mein hu tanha
kai roz ka mai hu pyaasa
pardesi allah raasi
ghurbat ka mai hu maara

Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)

3. Meri sughra ko kya pata
Ghazi saqqa e sakina
nigraan tha jo chadar ka
darya pe gaya hai maara
salaar mere lashkar ka

Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)

4. Meri sughra ko kya pata
Yasrab mein jis bhai ka
wo dekh rahi hai rasta
zalim ne us akbar ka
barchi se kaleja cheda

Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)

5. Meri sughra ko kya pata
Mere qatl ki ab tayyari
teero ki barish jaari
khaimo mein aaho zaari
beti ab meri baari

Mera bichad gaya har pyaara
mera ujad gaya ghar saara
mera koi nahi raha
Meri sughra ko kya pata..(2)
Haye kunba ujad gyaa
Meri sughra ko kya pata..(2)
Similar Videos