Main Rahib Hoon, Main Rahib Hun

1) Mai hoon Rahib, hai maseeh mera qabila logo
Mere aqa mere sardar he Isaa logo
Ek haqiqat se utha ta hun me parda logo
Mera Hussain he Isaa ka maseeha logon
Imam e waqt ka me intezaar karta hun
Halab ke dair me lamhe shumaar karta hun
Yaqeen he ye mera, Jab ayenge Mola
Me unke qadmon me gir kar sadaa lagaunga
Tum pe Maula me fida jaan karun
Apne beton ko me qurbaan karun
Main Hoon Najraan ka Rahib, Main Rahib Hoon

…Suno ke tumko sunata hun waqiya aysa
Meri hayat me aysa bhi waqt aya tha…

2) Me lawalad tha aur umeed na thi koi mujhe
Huzoor pak ne ye baat khud kahi thi mujhe
Lawh-e-Mehfooz ki tehreer bhi sunayi mujhe
Magar Hussain ne us dam pisar diye the mujhe
Ek nahin, saath nageene ata kiye the mujhe
He ye ehsaan bara, bhulaaun kayse bhala
Ye baat unse kahunga ke farze he ye mera
Tum pe Maula me fida jaan karun
Apne beton ko me qurbaan karun

3) Dafatan qafila ek shehr-e-Halab me pohncha
“Ya Hussayna, Ya Hussayna”! se larazti thi fiza
Neend se mujh ko jaga kar meri zawja ne kaha
Khwaab se jago ke phat-ta he kaleja mera
Kaun karta he tarap kar girya,
Kaun kehta he ye ‘Baba, Baba’
Khwaab e ghaflat se utha; aur maine ye kaha
Aisa lagta he chaley aaye mere ghar Maula
Tum pe Mola me fida jaan karun
Apne baiton ko me qurbaan karun

…Sun ke awaaz e jaras janib e dehleez gayaa
Meri aankhon ko nazar aya qayamat ka samaa…

4) Kya kahun me ne kin aankhon se woh manzar dekha
Be-rida chand aseeron ko khule sar dekha
Kitne suraj the jinhe nok e sina par dekha
Me ne ek chota sa sar dil ko pakar kar dekha
Ek sar par nahi mojood rida
Ek sar sharm o haya se he jhuka
Ek rahvaar ki gardan me bandha
Ek sar bar sar e nok e nezaa
Dekh kar kafela me aah o bukaa karta hun
Peet ke sar zaar o qataar rota hun

5) Maine pehle bhi kahin dekhe he aise chehre
Ayse noorani bashar toh Mubahile me hi the
Ya Khuda naize pe jo sar hen ye woh log na ho
Woh jo aulad e payambar hen ye woh log na ho
Jinki tareef main Injeel me bhi jumle hein
Woh jo chaahein to pahaaron ko hila sakte hein
Yaqeen he ye mera, Jab ayenge Maula
Me unke qadmon me gir kar sadaa lagaunga
Tum pe Maula me fida jaan karun
Apne baiton ko me qurbaan karun

6) Woh jo sar natiq e Quran nazar aata tha
Do sitamgaaron ka uss sar pe laga tha pehra
Darte darte jo me nazdeek gaya
Naiza bardaaron se maine pucha
“Ye jo khoon rota he sar, Kya he Zahra ka pisar?”
Pehradaaron ne kaha, “He ye baaghi bakhuda
Hakim-e-Shaam ne he, iss pe inaam rakha
Iss ke hami na bano tum Raahib
Iss ke hami ka he marna wajib”
Me pareshaan huwa, Aur ye kehne laga
Ek shak he mere dil me zara poochoon isse
Ek lamhe ke liye baat me karloon isse
Mujhe iss sar se mila do, Jitne qeemat he laga do
Ek shab ke liye sar se apne pehre ko hata do
Jab ijzazat mili phir dil ko mere aya qaraar
Maine dirham bhi sipahi ko diye tees-hazaar

…Le ke uss sar ko jo me ghar pohoncha…
Me ne uss sar se kaha mujh ko bata…

7) Batao kon ho tum, Batao kon ho tum…
Me ye bola ke tera jurm he kya?
Vo ye bola ke Mohammad se wafa
Mai ye bola ke tera naam he kya?
Vo ye bola mujhe pehchaan zara
Tera mehmaan hun me, Tera mehmaaan hun me
Nibhaane tifli ka waada, Leke sab apna me kunba
Tere ghar aagaya Rahib
Mai payambar ka jigar hun Rahib
Mai hi Zehra ka pisar hun Rahib
Jisne betay tujhe bakhshe woh sakhi hun Rahib
Bakhuda me hi Hussain ibne Ali hun Raahib
Karbala me jo sitam tootay bata ta hun tujhe
Apne beton ka bhi maqtal me sunata hun tujhe
Mere Abid ko lahu rulwaya (1)
Haye Baqir ka bachpana cheena (2)
Mere Akbar ko he naiza mara (3)
Mere Qasim ko he pamaal kiya (4)
Sar kiye Aun o Mohammad ke juda (5 & 6)
Ye inteha he ke Asghar pe reham na khaya (7)

“Ya Hussaina, Ya Hussaina, Ya Hussaina, Ya Hussain!” (x2)

8) Sun ke Rahib ye bayaan thaam ke dil rone laga
Aur aada ko sar e Shah bhi wapis na kiya
Ek ek kar ke kiye saathon pisar Sheh pe fida
Arsalan Azmi, Mesum he woh maujood jagah
Sar jahan Maula Hussain ibne Ali ka tha rakha
Dar e Rahib he jahaan, Karna mehsoos wahan
Goonjti ab bhi fizaoon me he Rahib ki sada
Tum pe Maula me fida jaan karoon
Apne beton ko me qurbaan karun