Kaniz-e-Zahra, Janabe Fizza, Wafa ki malka, Janab-e-Fizza

Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he
Zainab ke sath tu bhi, bazaar me khari he
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he

Tu ne toh sayyadon ka abaad ghar bhi dekha
Aur kis tarha huwa woh barbaad ghar bhi dekha
Tu phir bhi noukri se, peeche nahi hati he
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he

Ungli pakar ke teri, Zainab ne chal na seekha
Ek waqt woh bhi aya, Zainab ke saath Fizza
Jakri huwi rasan me, kanton pe tu chali he
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he

Tu habsh ki he maleka, sab jaante he bibi
Qadmon me thi tumhare, daulat jahan ki sari
Phir bhi kaniz-e-Zahra tu fakhr se bani hai
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he

Har ek qadam pe tu ne, Zainab ko he bachaya
Bibi pe aane wala, pathar he tu ne khaya
Teri jabeen Fizza, zakhmon se bhar gayi he
Fizza teri wafa ki, had akhri yahi he

Sun kar wafat-e-Abid khud bhi rahi na zinda
Bazar e Shaam me tha, bibi tumhara laasha
Mayyat tumhari bibi, Baqar ne dafn ki he
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he

Ay Arsalan aur Mesum hoti he pursadari
Jab kaarvan Baqayya, aate hein baari baari
Fizza bhi za’iron ke, hum raah matami he
Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he