●Chader na kafan hai dur watan hai
Be Parda behan hathon mai rasan
Haye zainab haye haye bazaar
Chader na kafan hai dur watan hai
Be Parda behan hathon mai rasan

●Abbas ki behan ko shami rula rahe hain
Chader dhika dhika ke rasta bana rahi hain
Bint e Ali ka fiza kante hata hata ke

●Pardes mai kisi per aesa na waqt ai
Na mahramon mai koi yun be rida na jai
Karte hain yeh duain ahl e haram ke bache
Jholi utha utha ke

●Bhai behan ki ankhein nam hoti jarahi hain
Bint e Ali ki sansein kam hoti jarahi hain
Khanjar chala raha hai Zainab ke dil pe zalim
Khanjar dhika dhika ke

●Ik bachi keh rahi hai ao madad ko baba
Dadi ki tarha mai bhi ab ho gayi zaeefa
Zakhmi kiya hai pehlu,naqay se zalimon ne
Mujh ko gira gira ke

●Parde mai bhi jo bibi chalti na thi ziyada
Pardes mai ab un par aya hai waqt kesa
Layein hain shaam wale un shah zadiyon ko
Paidal chala chala ke

●Wo shamiyon ke tane, wo muskurate chehre
Be parda sath apne bint e Ali ko le ke
Sajjad kese bholein us bheer se guzarna
Nazrein jhuka jhuka ke

●Jate hain jis taraf bhi ahl e haram khule sar
Khati hain pehle durra khati hain pehle phattar
Apne lahoo mai tar hain Zehra ki betiyon ko
Fizza bacha bacha ke

●Zakhmo ki wo taqalum tadad jante hain
Mehdi ko bhi khabar hai sajjad jante hai
Maare hain kis ne kitne Haider ki ladli ko
Pathar utha utha ke