(Marsiya)
Jab aakhri rukhsat ko Hussain aaye Haram se...
Sab bibiyan lipti Shah e Wala ke qadam se...
Hazrat ne kaha qat-e-muhabbat karo hum se...
Jeeney ke nahi hum Ali Akbar ke alam se...

Ek baar phir galey se lagao Hussain ko...
Aao behen sawaar karaao Hussain ko...

(Noha)
Aao behen sawar karaao Hussain ko 
Ek baar phir galey se lagao Hussain ko

Lo aa gaya wo waqt ke jaata he be-watan
Kurta diya tha jo tumhe amma ne ay behen
Uss ko kafan samaj ke pinhaao Hussain ko

Ay bibi mere nana ka ammamah layi ye
Hum ko abaa e shaafa e mehshar pinhai ye
Maqtal ko jaa raha he, sajaao Hussain ko

Hum aap ko samaj te hein Zahra ki yaadgaar
Behna hamey chalani he baba ki zulfiqar
Himmat phir ek baar dilaaoo Hussain ko

Ek din me mere moonis o yawar juda huwe
Abbas na rahe Ali Akbar juda huwe
Ab jee ke kya karega batao Hussain ko

Dil mera duba jaa ta he beti ko dekh kar
Hum sar katane jaatey he iss ko nahi khabar
Iss se na baar baar milao Hussain ko

Darya ki simt dekh kar kis ko bulaati ho
Kyun behna is ghareeb ke dil ko dukhati ho
Bhai ke gham me ab na rulawo Hussain ko

Mesum khayam e Shah me mehshar bapa huwa
Shah ne Raza jo Zainab e dilgeer se kaha
Phir kya khabar ke dekh na pao Hussain ko