Abbas haye abbas..(3)
Sar e abbas aata hai..(3)

Kaha zainab ne ye rokar, sambhalo bibiyo chadar
Sar e abbas aata hai

Bula laaye sakina ko..(2), koi zindaan se jakar
Sar e abbas aata hai
kaha zainab ne...

1. Ye ghairat ka khuda hai uski ghairat ka takaza tha
khula sar dekh ke naize se jo ye sar girata tha
nahi hai paas gar chadar to rakhlo haath hi sar par
Sar e abbas aata hai

2. Bhara hoga lahu aankho'n mein uski khud hataungi
mai bachpan ki tarah se bhai ka chehra dhulaungi
agar mumkin hai to dede koi paani mujhe laakar
Sar e abbas aata hai

3. Haaye..
mujhe uthna padega bibiyo tazeem ko uski
mai maa ummul banee ki simt se ghazi ko chumungi
arey sambhale sar koi aun o mohammad ke yaha'n aakar
Sar e abbas aata hai

4. Isi ehsaas se usne nazar apni jhukayi hai
use maloom hai ye kitna ghairat mand bhaai hai
chupaye kis tarha zainab pade hai neel shano par
Sar e abbas aata hai

5. Mila pani use pucha to kya batlayegi zainab
bhala uski bhatiji ko kaha'n se layegi zainab
nigahein uski dhundhegi sakina ko yaha'n aakar
Sar e abbas aata hai

6. The sabki jholiyo'n mein apne apne laadlo ke sar
Roqaiyya, umme laila, umme farwa, madar e asghar
uthi kehte hue har maa se apne laal ka rakhkar
Sar e abbas aata hai

7. Takallum shamiyo ki aurte bhi roti jaati hai
haye, ali ki betiya'n jaldi se zakhmo ko chupati hai
khadi hai haath phailaye hue khud zainab e muztar
Sar e abbas aata hai..(2)
haye abbas, haye abbas, haye abbas