Al Ajal
ya imame zama..(2)

Nazre talaash karti hai tumko shahe zamaa'n
phir de rahe hai sheh ke azadaar imtehaa'n
aahein, kahi pe nauhe, kahi par hai hichkiya'n
ujde he makaan hai veeraan godiya'n
rudaad apne ghum ki sunati hai kayenaat
aakhri hussain bulati hai kayenaat


Mere maula aao ke muddat hui hai
sitam zaalimo ke uthaate uthaate
tere dushmano ki guzarti hai maula
tere doston ko sataate sataate

1. Guzarti hai jaisi guzarenge maula
na haari hai himmat na haarenge maula
sitam thak gaya hai hue kund khanjar
lahoo momino ka bahaate bahaate
mere maula aao...

2. Kahin nauha matam kahin aahozari
safar karbala ka musalsal hai jaari
jhuke jaa rahe hai zaeefon ke kaandhe
jawaano ke laashe uthaate uthaate
mere maula aao...

3. La'eeno ne hum par mazaalim wo dhaaye
jawan saal laashon pe laashon uthaaye
chale hai shahadat ka sehra sajaaye
wo shaadi ka sehra sajaate sajaate
mere maula aao...

4. Jo behne hai zinda to bhai nahi hai
hai maa baap baaqi to bete nahi hai
jo bete hai baaqi to saaya nahi hai
jigar kaampta hai bataate bataate
mere maula aao...

5. Gharon se chale the jo purse ki khaatir
wo maare gaye raaston me musaafir
kabhi jaate jaate juloose aza me
kabhi mash'had o karbala jaate jaate
mere maula aao...

6. Thi sughra ke lab par sada ye duhaai
chale aao baba chale aao bhai
atakti hai seene may ab meri saanse
tumhein der hojaye na aate aate
mere maula aao...

7. Zaban se jo ki baat usne nibhayi
piya thanda pani na saaye me aayi
zamane se uthi hai asghar ki maadar
khalayon me jhoola jhulaate jhulaate
mere maula aao...

8. Khuda jaanta hai wo kaisa tha manzar
kaleje pe abid ke chalte the khanjar
jawani zaeefi ke dar par khadi thi
sakina ki turbat banate banate
mere maula aao...

9. Takallum ki aur haidari ki dua hai
har ek simt matam hai aah-o-buka hai
na aisa ho hum bhi lehed me ye bole
ahut der ki meherban aate aate
mere maula aao...