Halmin nasir yansurna..(3)
Ya Zainab Ya Zainab..(2)
Labbaik Ya Zainab..(2)
Labbaik Labbaik Ya Zainab

aa rahi hai rozae zainab se halmin ki sada..(2)
ghir gai hai shamiyo me firse aale mustafa
waqt rone ka nahi ye waqt hai labbaik ka
Labbaik Labbaik Ya zainab

kuch nahi zainab se badhkar ye batana hai hame
fatema zahra ko ek din mu dikhana hai hame
rokna hai jo baqiyya se chala hai silsila
Labbaik Labbaik Ya zainab

rone wale karbala par uske dil ki aas hai
matami uski nazar me bazue abbas hai
maan rakhna hai hame ab khwahare shabbir ka
Labbaik Labbaik Ya zainab

kal bhi usne dukh uthae, thi magar dharas use
ghairate abbas bankar sath me sajjad hai
aaj tanha reh gai hai baniye farshe aza
Labbaik Labbaik Ya zainab

kehte honge shaah se abbas ye rote hue
mai kate hatho se bhi lad lunga fauje shaam se
bus mujhe ek baar..bus mujhe ek baar maula
izn kar dijiye ata
Labbaik Labbaik Ya zainab


Shaam hae shaam hae shaam hae shaam hae shaam
haye haye zainab haye haye shaam..(3)

chalne ki jo aadi na thi
paidal wahi meelo chali
durre kabhi patthar kabhi..(2)
khati rahi binte imam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)

jane sitam kesa hua
chehra lahu se chhup gaya
binte ali se baap ka..(2)
lete the shami inteqam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)

akbar kare kese bayan
deta hai jab koi azan
lagti hai seene par sina..(2)
aata hai jab akbar ka naam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)