Haye..
Akhri baar mera haal e musibat sunlo
bhai sajjad ye sakina ki wasiyat sunlo
jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2)
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

Ye wasiyat meri..
ye wasiyat meri tum bhul na jaana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya
jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2)

1. Wo agar puche mera haal chacha se kehna
meri neendein hui pamaal chacha se kehna
taziyano ka sab ehwaal chacha se kehna
ab bhi neele hai mere gaal chacha se kehna
jo sitam mujh pa hue saare batana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

2. Paao jalte the mere hoti thi eeza mujhko
chhao me baithne dete na the adaa mujhko
jab bhi chalte hue ghash dhoop mein aaya mujhko
oonth ki pusht se jallad ne bandha mujhko
mai bohot royi..
mai bohot royi magar shimr na maana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

3. Jab haram qaid hue maine chacha ko dhundha
jab bandhe 12 gale maine chacha ko dhundha
jab gohar mere chine maine chacha ko dhundha
jab mujhe durre lage maine chacha ko dhundha
wo agar hote satata na zamana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

4. Qaid khane se hi mansoob hai ab zaat meri
hoga ehsaan nibha doge agar baat meri
chayn se qabr mein ghat jayegi har raat meri
jiteji un se na ho payi mulaqat meri
sar chacha jaa'n ka...
sar chacha jaa'n ka meri qabr pe laana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

5. Karbala jao to aisa nahi hone dena
unko tanhai ka sadma nahi hone dena
mere ammu ko akela nahi hone dena
qabr e ghazi pe andhera nahi hone dena
ek diya meri taraf se bhi jalana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

6. Mere ehsaas e gharibi se bachana unko
yaad wo waqt e musibat na dilana unko
mera ehwal e kanizi na sunana unko
hashmi sher hai mat yaad dilana unko
mai nahi chahti....
mai nahi chahti phir hashr uthana bhaiyya
jab bhi ho...

7. Qaid se chootke jab karbobala jaoge
pehle to karna salam unko meri janib se
phir batana ke ye din kaise guzare maine
aur jab phool chadhane lago us turbat pe
meri janib se rida meri udhana bhaiyya
meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya

8. Sunke arif ye wasiyat thi qayamat barpa
laashe abbas tadapti thi sare karbobala
aur sajjad ki ankho se lahu jari tha
jis ghadi bali sakina ne ye ahista kaha
meri mayyat ko andhere mein uthana bhaiyya..(2)
bhaiyya bhaiyya bhaiyya..(2)