Haye QASIM (AS) Haye QASIM (AS)..3
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Ek Gathri Me Faqat...2...QASIM (AS) Ka Lasha Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Char Kaandho Par Janaza Ghar Me Aata Hai Magar...2
Ek Hi Kaandhe Pe Ye kiska Janaza Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Jis Tarha Chunta Hai Mali Phool Apne Bagh Se..2
Tukde Yu QASIM (AS) Ke Chunne Mera MAULA (AS) Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Chum Kar Tawiz SARWAR (AS) Der Tak Rote Rahe...2
Bhai Ke Lafzo Me Jane Yaad Kya Kya Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Aagayi Barat Ran Se Ro Ke Fizza Ne Kaha...2
Bibi O Tazim Ko Uth Jao Dulha Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Lash Ko Tartib Jab Dene Laga ZEHRA (SA) Ka Lal....2
Baarha MAULA (AS) Ki Aakho Me Andhera Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Baap Ka Tawiz Tha Bete Ke Bazu Par Bandha...2
Isliye Pehchan Me QASIM (AS) Ka Lasha Aagaya
Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

Matami Ke Ghar Me Akbar Jab Koi Dulha Bana...2
Yaad Sab Ko Karbala Wale Ka Sahra Aagaya