Darbar haye darbar-2
Haye darbar me ye kehti thi ZAHRA KI ladli
mat maar mere tu labo'n pa mere Bhai k chadi,
Darbar me ye kehti...
Mat maar tu..
Darbar..2

Zalim hai hath jod k ye iltija meri.
Mat maar..
Darbar..

1) Jis din SE hum aseer hain maa sath sath hai,
Chehre pa ab HUSSAIN ke amma ka hath hai-2
ZAHRA sare HUSSAIN SE lipti hai is ghadi.
Mat..
Darbar..

2) Jalti zami'n pe Fatema k dil k chain ko,
Ye zibha Hote dekh chuki hai HUSSAIN ko-2
Mazloom K hai samne beti khadi hui.
Mat..
Darbar
Mat..

3) Ik baar bas aseer saro par nigah kar,
GHAZI tadapta hai Tere har ek waar pr-2
Tadpa raha hai kyu use Marne k baad bhi.
Mat..
Darbar..
Mat..

4) Zulmo sitam SE tera agar dil nahi bhara,
Le khwahare HUSSAIN SE badla HUSSAIN ka-2
De le kuch or mujhko saza taziyano KI.
Mat..
Darbar..
Mar.

5) Zulfe pakad k pusht se kaata gaya ye sar,
Khuli k Ghar tandoor me rakha gaya ye sar,-2
Aisi haye aisi bhi kya NABI k nawase SE dushmani.
Mat..
Darbar..
Mat.

6) Pehle hi sar HUSSAIN ka zakhmi h dekh le
Humse zyada wo sare SHABBIR ne sahe,-2
Bazaar me jo Barse the Patthar abhi abhi.
Mat.
Darbar.
Mat

7) Is sar se ek Baal bhi toota kabhi agar,
Maa raat bhar tadapti thi pehlu me baith kar,-2
Zalim chala na qalb pe (amma k phir churi)-2

8) Binte ALI ka Mir takallum tha ye bayan,
Ab or le na meri khamoshi ka imtehan-2
Ye lab hile to hogi qayamat bapa abhi
Mat maar labo pa mere Bhai k chadi
Darbar me ye kehti thi ZAHRA KI ladli.