beti to rehmat hai (4)

1) rabb e Akbar ki hai maqsoos inaayat beti
Beta maa baap ko neymat hai to rehmat beti
Raat din karti hai maa baap ki Qidmat beti
Dil e weeraa'n ko banaadeti hai jannat beti

Gulshan e zeest ki har shaak phalii beti se
Nasl e paigambar e islaam chali beti se

beti to rehmat hai (4)

2) beta maa baap ki daulat hai amaanat beti
Beta hai ghar ka charaag aur hai azmat beti
Beta maa baap ki dunya hai to jannat beti
Beta maa baap ki taaqat hai to raahat beti

Aabru kunbey ki beti ki hayaa hotii hai
Beti maa baap ke zaqmo ko dawaa hotii hai

beti to rehmat hai (4)

3) eak mazdoor ki azmat ka qazaana beti
Ghumzadaa baap ke hasney ka bahaana beti
Baap ki toot'ti saanso ka maseeha beti
Baap ke hoto ka maqsoos taraana beti

Baap ney jaisey hii ek beti ka chehraa dekha
Yu lagaa jaisey kisii pyaasey ney Daryaa dekha

beti to rehmat hai (4)

4) ye sataayii gayi apney kabhi beygaano se
Aabru apni bachaati rahi shaitaano se
Muskuraakar ye guzarjaati hai toofaano se
Khelti rehtii hai ye apney hi armaano se

Zulm seh sehkey bhi har ek ko dua deytii hai
Ashq peeleytii hai har ghum ko chupaa leytii hai

beti to rehmat hai (4)

5) ghar ki izzat ki nigehbaan hai Seerat iski
Dekh anmol nageena hai mohabbat iski
Noor aankho ka badhaa deti hai soorat iski
Har kadey waqt mey padtii hai zaroorat iski

Ghar mey raunaq hi nahi hoti siwaa beti ke
Maa ka badlaa hi nahi koi siwaa beti ke

6) haaye Shabbir judaa hogaye beti se raza
Kya likhu shaam e gareeba ka ajab manzar tha
Haal par beti ke padhtii thi udaasii nauha
Aur maqtal mey tadaptaa tha padar ka laasha

Kisii zaakir se na shaayar na walii se poocho
Pyaar beti ka Husain ibne ali se poocho

beti to rehmat hai (4)