Uth gaya baap ka sar se saaya
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Zakhm taza tha madar ka dil may
Roeen baba ke gham may wo ankhain
Gham yateemi ka Zainab ne paaya
Aaj Zainab yatemm ho gayeen

Ro rahay hain ye mehrab o mimbar
Keh rahay hain ye Jibreel ro kar
Ibne Muljim ne ye zulm dhaya
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Uth raha hay janaza Ali ka
Sab ke sab Ambiya ro rahy hain
Hay farishton may kohram barpa
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Kon Kulsoom ko de dilasa
Aur tarapti hain gham se Khadija
Mola Abbas kartay hain girya
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Arsh par Mustafa ro rahay hain
Sab ke sab Ambiya ro rahay hain
Hay farishton may kohram barpa
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Uth raha hay janaza Ali ka
Khana e Rab may matam hay barpa
Soag may dooba ghar Syeda ka
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Uth raha hay janaza Ali ka
Aik mehshar ka aalam tha barpa
Sab ke honton pe tha aik Noha
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Ghar pe farsh e aza bich gaya hay
Khana e Rab may matam bapa hay
Soag may dooba ghar Syeda ka
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Ghar se mayyat Ali ki jo uthi
Ruk gayi nabz dono jahan ki
Arsh walay bhi kartay hain girya
Aaj Zainab yateem ho gayeen

Saray alfaz rotay hain Mazhar
Farsh e majlis pe ye baat keh kar
Dijye apni bibi ko pursa
Aaj Zainab yateem ho gayeen