Al ajal Al ajal ya sahib zaman
Al aman Al aman, Jab Imam Ayengaye
Haal hum sunaige ,Jab Imam Ayengaye
Bam-o-dar sajaienge,Jab Imam Ayengaye

Zakhm dil dhikaye ge,jab imam ainge
Mehfilein jamainge,jab imam ainge
Jashan hum manainge,jab imam ainge

Jo mushkilein hai to mushkil khusha bhi hai koi
Hazar gham hain to gham ki dawa bhi hai koi
Jo qaflay mai rawan,rehnuma bhi hai koi
Khuda agar hai to phir na khuda bhi hai koi
Hai dard-e-dil to koi dil ka chain bhi hoga
Yazeed lakhon mai koi Hussain bhi hoga

Abhi to khoon kay darya bahaye jainge
Abhi to zulm kay dhabe mitaye jainge
Sitam garon ka parakche uthai jainge
Abhi to qabar se murde uthai jainge
Sawal kar chuke Zehra jawab lena hai
Fidak ka Mehdi nay akar hisab lena hai

Abhi bhi ishq tarapta hai qatal ghahon mai
Abhi hayat hai qaidi ajal ki bahon mai
Abhi andhera hai insan ki nigahon mai
Abhi to qafla zindagi hai rahon mai
Ali ka sher abhi sabar ki kachar mai hai
Zamana apnay Mohammad kay intezar mai hai

Yeh keh rahi hai gham-o-ranj ki farawani
Khabar ye deti hai aql-o-kurd ki herani
Bata rahi hai yeh zulm-o-sitam ki tugyani
Barasne wala hai ab zulfiqar ka paani
Sitam ki moat ka saaman anay wala hai
Safina dhoond lo toofan anay wala hai

Manadi hogi kay adl-e-khuda mubarak ho
Jida rikhana-e-haq Murtaza mubarak ho
Madine walon naya Mustafa mubarak ho
Mera zahoor aye kherun nisa mubarak ho
Tha dil pe karb-o-bala jo baar khatam hua
Aye meri dadi tera intezar khatam hua

Hai zaat-e-haq jo pase mojizat meri hai
Shareeq qar nabuwat bhi zaat meri hai
Har ik imam ki har ik baat meri hai
Faqat fidak hee nahi kainat meri hai
Har ik shehar yeh tehreer likhta jaonga
Yeh sab hai Zehra ki jageer likhta jaonga

Uthega shor saf-e-karzar se bhago
Baras rahi hai ajal zulfiqar se bhago
Koi kahe ga nabi kay darya say bhago
Koi kahe ha nikal kar mazar say bhago
Qabai zulm-o-tashadud ko pharne walay
Phir agaya dar-e-khayber ukharne wala

Ali ki taig hai phir be niyam bhag chalo
Jaga haram mai nahi soi sham bhag chalo
Ajal ko yaad hai hum sab kay naam bhag chalo
Kay bhagna hee to hai apna kaam bhag chalo
Aman nahi hai kahin karzar hasti mai
Kichar chor kar shair agaya basti mai

Sunayi de ga yeh elaan taig Haider ka
Hisab lungi yameen-o-yasar se shar ka
Wo sar gaya jo zara sa idhar udhar sar ka
Malak bhi jaan lenge khud zimedar hai par ka
Naa jibraeel mai ko bhi kuch riayat hai
Zameen pay moat ko rukne ki bus ijazat hai

Bhari hai aag meray dil mai be qara hoon mai
Na janay kitne shaheedon ki sogwar hoon mai
Naa janay kitne yateemon kay qarz dar hoon mai
Kahega kon kay Haider ki zulfiqar hoon mai
Ali kay laal teray naam ki duhai hai
Na aaj rok mujhe akhri larai hai