(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x3

    ye Karti thi maa, lahad pe bukaa. Meri ladli, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Yaha se chalo, chale karbala. Wahi se tumhe, milenge chacha. Sitam jo huwe, bataana une. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa. Chacha jaan ko, dikhana zara, ridaa khun bhare, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Bataana unhe, kabhi saktiya. Mili jis kadar, tuje gurkhiya. Hamari ridaa, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baliya. Bataana une, buji kis tarha, teri tishnagi, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahot roi ho. Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahi soyi ho. Lahad bap ki, mile jab tuje, to kehna yahi, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Lahad jab mile, tuje bhai ki. To kehna use, meri ladli. Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyat koi. Mere be zuba, utho gar chale, shabi hai nabi, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    labe al kama, tu karna fugaa. Teri moj hai, abhi takh rawa. Meri pyas par, huye jo fida. Chacha ke mere, hai bazu kahaa. Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, kahaa hai zari, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Na ab gham koi, na uftad hai. Wo zanjir se, ab aazad hai. Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo sajjad hai. Meri gham zadaa, shabe gham kati, sahar ho chuki, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Labo par tere, yahi baat thi. Watan jayenge, kabhi ham puphi. Tuje shimr ka, nahi khof ab. Satayenge na, tuje ab shaki. Nikal kayd se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Gharibo ka ye, luta kafela. Wida ho ke phir, watan jayenge. Tuje payengi, jo sughra teri. To bimar ko, milengi dawa. Gale mil ke phir, bohot royengi, wo behna teri, chalo gar chale.

    (Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
    Mazar-e nabi, laraz jayenga. Bahen jab teri, karengi bukaa. Kaha hai chacha, kaha hai padar. Kaha hai bataa, bhara gar mera. Suna ne use, ye rudaad-e gham, yehi bebasi, chalo gar chale.

(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2