Karbala naam hai mera..(3)

karbala, maut ke saaye ko nigal sakti hai
karbala, takht ko talwo se masal sakti hai
karbala, khaak to kya aag pe chal sakti hai
karbala, waqt ki raftaar badal sakti hai
khusrawi jabr yaha kaash nahi kar sakti..(2)
karbala taaj ko bardash nahi kar sakti

mai karbobala karbobala karbobala hu, mai karbobala hu

kab bhala sabko..(2)
mayassar hai musalla mera
naam shabbir ne rakha hai mu'alla mera

mai karbobala karbobala karbobala hu, mai karbobala hu

1. Rabbe qudrat ki tarashi hui tasweer hu mai
qismat e hurr ki qasam katib e taqdeer hu mai
khud pe maghroor hu abbas ki jageer hu mai
markaz e noor hu ash shams ki tasweer hu mai
ho nahi sakta mere noor ka humsar suraj
mere aaghosh me utre hai bahattar suraj

2. Baar nabiyo ki amanat ka uthaya maine
apne zarro ko sitaro se badhaya maine
aise darbaar shahadat ka sajaya maine
farsh par arsh nasheeno ko bulaya maine
beijazat yaha se koi rehbar guzra
har nabi khums lahu ka mujhe dekar guzra

3. Mujhko zehno ke marizo ki dawa aati hai
mere zarro se analhaq ki sada aati hai
sajda karne meri chaukhat pe qaza aati hai
bus meri khaak se khushbu e wafa aati hai
jab se abbase ke..(2) parcham ko utha rakha hai
aasmano ne mujhe sar pe bitha rakha hai

4. Qabr me jab bhi utarti hai kisi ki mayyat
hukm e mabood se hota hai fishare turbat
mere malik ne mujhe bakshi hai aisi quwat
mai kafan me jo rahu khake shifa ki surat
sakhtiyo se use turbat ki chhuda deti hu
mai azadaar ko jalne se bacha leti hai

5. Toor par musa ne bus ek jhalak dekhi thi
hai mujassam yaha maujood husain ibn e ali
meri mitti ko bhala toor se nisbat kesi
baate karne waha allah se jaate the nabi
meri sarhad me ye qanoon badal jaata hai
yaha shabbir se milne ko khuda aata hai

6. Maine abbas ke qadmo se wafaen leli
apne qabze me zamane ki hawaen leli
rehmato ne meri badh badh ke balaen leli
meri mitti ne jo zehra ki duaen leli
raat din mojize is waaste hote hai yahan
shabe ashoor ke jaage hue sote hai yahan

7. Meri meraj ki tareekh hai ek sath(61) hijri
wo jo sadiyo se bechaini meri khatm hui
meri taqdeer ne hurr ki tarah karwat badli
maine mangi thi jo daulat mujhe shabbir ne di
ab meri khaak kisi..(2)  taaj ki mohtaaj nahi
sheh ki na'layn se badhkar to koi taaj nahi

8. Ibne zehra ne takallum mere badle halaat
hai meri raah se lipti hui ab raahe nijaat
takhte bilqees bani hai mere zarro ki zakaat
ek pyaase ne pilaya hai mujhe aabe hayaat
mere waadi pe qayamat na giraega khuda
jaisi hu hashr me wesa hi uthaega khuda

Karbala naam hai mera..(3)