ali ali ali ali ali ali ali ali..(2)

aynullah uznullah noorullah wajhullah

ya ali ali ali

Aise hote hain ali ke naukar
dekh kar missam o salmaan ko kehti hai nazar
aise hote hain ali ke naukar

1. Waqt par waqt ki raftaar badal dete hain
fitrat e khanjar o talwaar badal dete hain
daar par lehja e guftaar badal dete hain
zere khanjar bhi sadaa dete hain haidar haidar

2. Tumne mola ki mohabbat ka nazaara dekha
lashkar e kufr zyaada tha magar haar gaya
chand afraad ne lebnaan ka naksha badla
bhaagne vaale zara dekh to pitche murh kar

3. Ishq e haidar ki ye tabligh kiya karte hain
aise diwaane hain daanaayi ataa karte hain
aql waale inhein behlol kaha karte hain
haa mitti se bana dete hain ye khuld ke ghar

4. Qasre bay’at ke sutunon ko giraane ke liye
apna ghar qalb e payambar me banaane ke liye
jhutiyaan sibte payambar ki uthaane ke liye
hurr ne haste hue dunya ko lagaadi thokar

5. Marke bhi ulfate haidar nahi marne deti
baat ye hazrat e salmaan ne saabit kardi
baad marne ke agar inko bulaaenge ali
maut ki god se labbayk kahenge uth kar

6. Baat karne ke liye jab bhi zabane khole
apne qirdaar ko meezan e amal par tole
laakh hum khud ko ghulam e dare haidar bole
baat jab hai ke hume dekh ke bole haidar

7. aathwe daur e imamat me jo bikhra darya
aata sailaab to har samt tabahi karta
waasta tab diya maroof ne apne sar ka
khud tadapna pada darya ko hado ke andar

8. Tegh siffin me jab malik e ashtar ki chali
bhaagne walo se maidan me bhagdadh si machi
sar kate jeeb kate haath kate saans kati
daad maalik ko diya abbas ne khud ye keh kar

9. Maslehat, jhooth, riyakari, siyasat, dhoka
khudnumayi bhi dikhawa bhi sare farshe azaa
aur fir hubbe ali ka bhi takallum dawaa
kya bataenge agar puchle maula aakar

ali ali ali ali ali ali ali ali