zindaan ka andhera mujhe sonay nahi deta
roti hu to mujhe zaalim ronay nahi deta

baba mere kaano se lahoo ab bhi hai jaari
maare hai tamaache bhi sakina ko tumhari
pehlu may phuphi ke mujhe rehne nahi deta
zindaan ka andhera mujhe....

awwal to mujhe neendh aati hi nahi baba
soti hu to durro se jaga dete hai aada
ye shimr mujhe saans bhi lene nahi deta
zindaan ka andhera mujhe....

ab khaab may pani ki tamanna nahi karti
kaante hai pade halq may aur saas hai rukhti
ammu se shikayat koi karne nahi deta
zindaan ka andhera mujhe....

is khaid se kab hogi rihaayi mere baba
kaise sahu asghar ki judaai mere baba
gham kunbe ka ab to mujhe jeene nahi deta
zindaan ka andhera mujhe....

rehaan buka karti thi jab baali sakina
khud maut ke maathe pe bhi aata tha pasina
ye waaqaya aansu mere rukne nahi deta
zindaan ka andhera mujhe....